New Dehli: Congress party ne ilzaam lagaya hai ke jab Amethi se parcha namzadgi daakhil karne ke baad Rahul Gandhi Sahafion se baat kar rahay they, tabhi bohat kam waqt mein kam se kam 7 baar un ke sar ke Aas paas Laser Dikhti rahi. Do baar to seedhay un ki kanpatti par Laser ki light padi. kaha ja raha hai ke Amethi mein Road show ke baad sahafioun se baat cheet ke douran Rahul Gandhi ke Chehray aur kanpatti par Laser Light padi. Is waqea ka video samnay anay ke baad hungama mach gaya hai.
Congress ney is silsila mein wazeer e dakhila ko chitthi likhi hai aur is waqea ke barey mein waaqif karwaya gaya hai. Congress ney wazeer e dakhla ko likhi gayi chitthi mein yaad dilaya hai ke party apne do wuzraye aaazm Indra Gandhi, aur Rajiv Gandhi ko aisay hi hamlon mein kho chuki hai.
Party ney kaha hai ke Rahul Gandhi ko SPG Security mili huwi hai, is liye Security mein la parwahi ki jaanch ki jaye. Doosri taraf wizarat e dakhla ka kehna hai ke, hamein Rahul Gandhi ki hifazat mein laa parwahi se mutaliq koi khat abhi tak nahi mila hai. Maamla samney anay ke baad SPG Director se report mangi gayi. SPG ke director ka kehna hai ke ”Light Congress ke photo grapher ke Mobile Phone ki thi. Jo Rahul Gandhi ka video bana raha tha.
Batadin ke Rahul Gandhi ney kal halqa Lok Sabha Amithi se apna parcha namzadgi daakhil kiya tha. Is douran un ki walida Sonia Gandhi, behan Priyanka Gandhi behnoi Robert Vodra un ke sath they. Namzadgi daakhil karne se qabal Rahul Gandhi ney Road show kiya. Musheer ganj se shuru huwe is road show mein sadak kinare Congress ke hamion ki bhaari tadaad mein bheed jama thi. Party kaarkunon ke hathon mein Congress ka jhanda tha. Khawateen gharon par se phoolon ki barish kar rahi theen.
Congress ke garh Amithi mein Rahul Gandhi ka muqaabla BJP ki markazi wazeer Smriti Orani se hai. Is ke ilawa Rahul Gandhi ney kerala ke Wayanad se bhi namzadgi daakhil ki hai.