Saturday, May 4, 2024
HomeSliderKya Coronavirus China ki takhleeq hai

Kya Coronavirus China ki takhleeq hai

Beijing: Is waqt saari duniya Coronavirus ke qehar se pareshan hai aur har mulk se rozanah kayi lashain nikal rahi hai. Virus se hifazat ke liye duniya ke taqriban sabhi mumalik teeka aur dawa tayyar karne mein masroof hain lekin ye abhi tak hatmi tor par wazeh nahi ke Coronavirus ki nai qisam kahan aur kab peda huvi. Kya ye Virus us cheeni laboratory se nikla, Jahan par Science daan chamghadron mein paye jaanay walay Virus par tahaqeeq jari rakhay huve they? lekin China ki janib se is ilzaam ko mustard kardiya hai.

Is munasibat se sazshi nazriaat mukhtalif hakoomati tehqeeq aur halqoun mein zair-e behas hain. Ek sazeshi nazriya ye hai ke COVID-19 bemari ka Virus ek cheeni Laboratory mein chimgaadar par jari tahaqeeq ke douran baher nikalne mein kamyaab huwa aur phir ye intahi mohlik Virus duniya mein phela gaya. Is Virus ki paidaiesh ke hawalay se abhi tak koi mustand tahaqeeq samnay nahi aayi hai. Is hawalay se baaz nazriaat haqeeqat ya is ke qareeb mehsoos hotay hain lekin un ke durust honay ke barey mein kuch kehna mushkil hai.
Kayi mohaqiqeen aur sahafioun ko yaqeen hai ke Coronavirus ki nai qesam ne Cheeni shehar Wuhan hi mein janam liya tha. Is isharay ke saboot mein Wuhan ki ek aisi Market ka hawala diya jata hai, Jahan taaza gosht, Machhliyan aur baz jungli hayaat ka gosht bhi farokht hota hai. Kuch maghribi Media ka muaqqaf hai ke is Market ke qareeb hi waqay Wuhan Institute of Virology hai aur wahein se ye Virus is Market tak pounchanay mein kamyaab huwa aur phir daidh lakh se zayed insani jaanen is ki bhaint chadh gayeen.

Samaji raabtey ki mukhtalif Websites par aisay nazriaat rawan baras January mein China mein waba phelnay ke fori baad hi samnay aana shuru ho gaye they. Un ke mutabiq ye Virus cheeni fouj ki kisi tajurbah gaah mein bator ek hayatiyati ya Biological  hathyaar ke tour par banaya gaya tha.
Americi jareeday Washington Post ne aisay tamam nazriyat ko be waqat aur bekar qarar day diya hai. Uskay mutabiq ye Virus insani takhleeq nahi hai. Is ki Report mein Science mahireen ke hawalay diye gaye ke Coronavirus ki nai qisam ke khawaas qudrati mehsoos hotay hain aur is mein insani hathoun ka koi karishma nahi hai. –YTN STAFF