Friday, April 26, 2024
HomeOthersHealthKya aap kaghaz ki piyali mein Chai peetay hain?

Kya aap kaghaz ki piyali mein Chai peetay hain?

Kaghaz ki piyali aur glass mein garam mashrobat piinaa sehat ke liye noqsandah

Hyderabad: Aam tor par dekha ja raha hai ke kaghaz se bani payaliyon aur glasses mein Chai, Coffee aur deegar mashrobat piye jarahay hain lekin yeh amal hamari sehat ke liye nuqsaan da hai. Is haqeeqat ka inkishaaf ek haliya tehqeeq mein huwa hai halaank is tehqeeq se qabal hi awam mein yeh khadsha aam tha ke kaghaz ki payalyon aur glasses ka garam mashrobat ke liye istemaal sehat ke liye kaafi nqsandah hota hai.

Darin asna Kharagpur ke idaray Indian Institute of Technology ( IIT ) ke mohqiqeen ne apni ek haliya tehqeeq mein is baat ki tasdeeq ki hai ke istemaal ke baad pheink di jane wali kaghaz ki piyali aur glass mein garam Chai aur coffee piinaa sehat ke liye bohat nuqsaan da hai kyunkay kaghaz se tayyar ki jane walay un bartano ki tayari mein istemaal honay walay mawaad mein Micro plastic aur deegar khatarnaak aanasir estimaal kiye jatay hain.

Hindustan mein pehli martaba ki jane wali apni noiyat ki is tehqeeq mein shoba Civil Engineering ki Associate Professor Dr Sudha Goel aur Shoba Maholiyati Engineering aur Management ke Research Scholar wayad Prakash Ranjan ke hamrah Anujha Joseph ne inkishaaf kiya hai ke payalyon ki Micro plastic parat 15 minute mein garam pani ya doosri garam mashrobat ke radd amal mein pighal jati hai.

Tehqeeqi mutalea ke pehloo par roshni daaltay hue professor Sudha Goel ne kaha ke hamaray mutalay ke mutabiq kaghaz ki piyali ya glass mein rakhay hue 100 milliliter Liquid microplastics ke zarraat chod dete hain aur yeh amal sirf 15 minute mein mukammal hota hai. Is terhan agar 1 shakhs rozana osat 3 cups Chai ya Coffee peeta hai to woh insani aankh se na qabil deed microplastics ke 75000 zarraat ko nigal jata hai.

Professor Sudha Goel ne 15 minute ke takhirati wazahat karte hue mazeed kaha ke ek survey mein jawab dahindgaan ne kaha hai ke woh cup mein Chai ya coffee daalnay ke 15 minute ke andar usay piya hai. Isi bena par tehqeeq ka yeh waqt tay kiya gaya tha. Survey ke nataij ke ilawa is mein yeh bhi mushahida kiya gaya ke mashrobat is arsay ke douran apne atraaf ke darja hararat ke mutabiq radd amal zahir karte hain.

Yeh Microplastics zahreeley saqeel dhaton jaisay palladium, chromium aur cadmium jaisay namiati murakabat mein aur is terhan un namiati murakabat mein bhi jo qudrati tor par pani mein tahleel nahi hotay hain, Jab woh insani jism mein pahunchte hain to woh sehat par sangeen assar muratab karte hain.

IIT Kharagpur ke Director Professor Virender K Tiwari ne kaha ke is tehqeeq se yeh saabit hota hai ke kisi bhi terhan ki doosri masnoaat ke istemaal ko farogh dainay se pehlay yeh dekhna zaroori hai ke woh maholiyaat ke liye aloodgi ka baais aur hayatiati lehaaz se khatarnaak nah hon. Hum ne plastic aur sheeshay se bani masnoaat ko disposable paper ki masnoaat se tabdeel karne mein jaldi ki thi jabkay zaroorat is baat ki thi ke hum maholiyaat ki sazgaar masnoaat daryaft karte.