Sunday, May 19, 2024
HomeTrending NewsKuwait se bain ul aqwami parwazein bahaal karne ka elaan

Kuwait se bain ul aqwami parwazein bahaal karne ka elaan

Kuwait City: Kuwait nay Corona ki wajah se ayed safri pabandiyan hata di hai taham Hindostan samait saat mumalik ke liye ye pabandiyan barqarar rahay gi. Corona ke sabab Kuwait nay rawan saal March mein Kuwait se janay aur anay wali bain ul aqwami parwazein moattal ki thi. Taham ab ye pabandiyan hata di gayi hai aur yakam August se Kuwait ke liye aur Kuwait se bain ul aqwami parwazein bahaal ho jayen gi. Taham Pakistan, Bangladesh, Hindostan, Philippine, Sri Lanka aur Nepal ke liye aur wahan se anay wali parwazon par pabandi barqarar rahay gi.

Kuwait Times ke mutabiq The Center For Government Communication ke ek ailamiye mein kaha gaya hai ke 7 mumalik ke ilawa tamam mumalik ke shehrion aur rahaishion ko Kuwait anay aur jane ki ijazat di gayi hai. Kuwait ney March mein tamam bain ul aqwami parwazein corona ki wajah se moattal kar di thi. Taham mukhtalif mumalik mein phansay hue Kuwait ke shehrion ko wapas laane ke liye khusoosi parwazon ki ijazat di gayi thi.

May ke aakhir mein Kuwait Civil Aviation ke hukkaam nay elaan kiya tha ke hukoomat ki ijazat se Commercial Flight ki bahaali ka amal 3 marahil mein anjaam diya jaye ga. Khayaal rahay Kuwait mein ab tak Coronavirus ke 65 hazaar 903 mamlaat samnay aaye hain jab ke ab tak 444 afraad is waba ki wajah se halaak ho chuke hain. Ab tak waba mein mubtala hokar sehat yab honay walay afraad ki tadaad 56 hazaar 467 hai.