Kuwait City: Kuwait nay abadi ka tawazun theek karne ke liye 5 lakh 30 hazaar bairooni mumalik ke afraad ko mulazimaton se bar tarf karne ka faisla kiya hai. Hikmat-e-amli tayyar karli gayi is par amal daraamad jald kiya jaye ga. Kuwait khabar-rasan idaray KUNA ke mutabiq wazeer samaji-o-iqtisadi umoor Maryam al-Aqeel nay parliamani committee ke ijlaas ke douran abadi mein tawazun ki islaah scheme ka jaiza liya hai.
Kuwait media ny kaha ke is faislay par amal dara-amad ki shuruvaat ghairqanooni tor par muqeem ghair mulkion ki be dakhli se ki jaye gi. Is ke tehat 1 lakh 20 hazaar tarikeen ko Kuwait se rukhsat kiya jaye ga. 60 baras se ziyada omar walay karkunaan aur lailaaj amraaz mein mubtala ghair mulkion ki bhi chhutti ki jaye gi. Un ki tadaad daidh lakh ke lag bhag hai.
Hukoomat Kuwait ne is hawalay se ek faisla ye bhi kiya hai ke nakhawenda karkunaan ya mamooli taleem yafta ghair mulkion se bhi chhutkara haasil kiya jaye ga. Un ki tadaad 90 hazaar se ziyada hai. Kuwait wazeer samaji-o-iqtisadi umoor Maryam al-Aqeel ne kaha ke Kuwait abadi mein haliya 15 barson ke douran ghair-maa’mooli izafah huwa hai. Muqami shehrion ki sharah paidaiesh 55 feesad tak poanch gayi hai jabkay 15 baras ke douran tarikeen watan ki tadaad mein 100 feesad izafah record kiya gaya hai. Maryam al-Aqeel ne sarkari aur khangi idaron se kaha hai ke wo 1 lakh 60 hazaar asamyon par ghair mulkion ki jagah muqami shehrion ka taqarrur karen.
Qabal azeen Arab News mein shaya ek Report mein kaha gaya tha ke tawaqqa hai ke 2020 ke aakhir tak 15 lakh ke qareeb ghair mulki karkunaan Kuwait se nikal jayen ge. Report mein kaha gaya tha ke Coronavirus ke manfi asraat ke baais Kuwait mein mojood companiyon ne muashi halaat ko dekhte hue akhrajaat kam karne ki gharz se ye iqdamaat uthany ka faisla kiya hai.