Kuwait City: Kuwait ki sarkari wezaraton mein sab Contractors ke sath kaam karne walay 50% ghair mulkion ko aindah 3 mah mein bar tarf kardiya jaye ga. Kuwait ke akhbar Arab Times ke hawalay se kaha gaya hai ke beshtar sarkari wezarten apni Labor Force Migration pehlay hi shuru kar chuki hain. Is policy ka maqsad khair mulkion ki jagah sarkari dafatir mein kaam karne walay Kuwait ki tadaad ko marhala waar badha na hai.
Report ke mutabiq hunar mand afraadi qowat aur wo tarikeen jin ke paas matlooba mahaarat ke muahiday hain wo bhi nai policy se mustasni nahi lekin kaam ke miyaar ko mutasir honay se bachanay ke liye tarikeen ko Kuwait bashindon ki dasteyabi par marhalawaar bar tarf kiya jaye ga. Report mein kaha gaya hai ke sarkari wezaraton mein sab Contractors ke sath kaam karne walay beshtar tarikeen pehlay hi doosri jagah chalay gaye hain.
Parlimani human Reservoir Development Committee ke sarbarah aur Kuwait rukan parliment Khalil Al-Salah ne kaha ke Demographic maslay ko hal karne ke liye thos iqdamaat uthaye gaye hain. Unhoun ne mazeed kaha ke aglay haftay ek ijlaas hoga jis mein nai policy se mutaliq data aur adad-o-shumaar ke hawalay se tabadlah khayaal kiya jaye ga. Media ke mutabiq rukan parliment ne Civil services commission se mutalba kiya hai ke wo tamam tarikeen watan ke maahdon ko khatam karde aur sad feesad afradi qouvat ki Kuwaitsation ki jaye. Yaad rahay ke is waqt Kuwait mein 30 lakh se ziyada tarikeen watan muqeem hai.
Qabal azeen Arab News mein shaya ek Report mein kaha gaya tha ke tawaqqa hai ke 2020 ke aakhir tak 15 lakh ke qareeb ghair mulki karkunaan Kuwait se nikal jayen ge. Report mein kaha gaya tha ke coronavirus ke manfi asraat ke baais Kuwait mein mojood companiyon ne muashi halaat ko dekhte hue akhrajaat kam karne ki gharz se ye iqdamaat uthany ka faisla kiya hai. Coronavirus phelnay ke baad se mukhtalif companian afraadi qowat kam karne ki hikmat-e-amli apna ne par majaboor hain. Isi terhan hukoomat ki janib se bhi naye rehaishi qanoon ke nifaz ke baais bohat se tarikeen ne Kuwait ko khiarbad kehney ka faisla kiya hai. Sarkari tor par mukhtalif mulazimaton ke liye Kuwaitsation ki policy apaneye ja rahi hai.