Kuwait City: Kuwait ki tareekh mein pehli martaba ek khatoon Maryam-Al-Aqeel ko wazeer-e-khazana tainaat kar diya gaya. Kuwaiti khabar Rasa idaray ke mutabiq mulk ki tareekh mein pehli martaba kisi khatoon ko wazeer-e-khazana ka qalamdaan saumpa ja raha hai.
Iqtisadi umor ki maahir Maryam-Al-Aqeel ko wazeer-e-khazana ki jagah tainaat kar diya gaya hai jab ke wazeer-e-khazana ka qalam daan lekar Nayef-Al-Hajraf ko khaleeji taawun council ke secretary general ke ohday ke liye naamzad kiya gaya hai.
kuwait ki pehli khatoon wazeer-e-khazana Maryam-Al-Aqeel maahir iqtisadiat hai, Kuwait University se munsalik rahen, wizarat khazana mein maliyati control ke idaray ki director ki haesiyat se faraiz anjaam derahi aur behtareen karkardagi dikhaane par inhen 2016 Mein wazeer mumlikat baraye iqtisadi umoor ki zimmedaari bhi di gayi thi.
wazeh rahay ke Saudi Arab mein wali-ehad Mohammad Bin Salman ke vision 2023 kai tehat khawateen ko har shobay mein salahiyaten dikhaane ki ijazat di jarahi hai jis ke baad Arab Mumalik mein bhi khawateen ki salahiyaton par etemad ka izhaar karne aur ahem hakoomati zimmedariyan saumpne ka rujhan badhta ja raha hai. –YTN STAFF