Monday, April 21, 2025
HomeTrending NewsKuwait mein mutadid biwioun ke shoharoun ko curfew Pass

Kuwait mein mutadid biwioun ke shoharoun ko curfew Pass

Kuwait City: Kuwait mein mutadid biwiyan rakhnay walay shehrioun aur muqeem ghair mulkioun ko curfew ke douran safar karne ki ijazat di gayi hai. Kuwait khabar rasan agency ( Kuna ) ke mutabiq shehri maloomat ke idaray ne kaha hai ke mutadid biwiyan rakhnay walay afraad idaray ki Website se curfew Pass jari karwa satke hain.

 Idaray ne kaha hai ke aisay shehri jinhoun ne doosri biwi ka indraaj nahi karwaya ya dosra aqab khufia rakha huwa hai wo maloomat ka indraaj karwa satke hain. Website mein kawaif ka indraaj karte hi doosri biwi shehri Record mein shaamil hojayegi. Ek se doosri biwi ke ghar jaaane ke liye har martaba naya curfew Pass jari karna hoga, Ijra ke baad Pass ki muddat ek ghanta hogi.

 Din mein 2 curfew Pass jari ho saktay hain, Ek Pass biwi ke ghar jaanay ke liye aur dosra wapas anay ke liye jari kiya ja sakta hai. Idaray ne wazeh kiya hai ke is terhan ka curfew Pass hafta mein 2 martaba hi jari kiya ja sakta hai. Wazeh rahay ke itwaar tak dastyab adaad-o-shumar ke mutabiq Kuwait mein corona ke 14850 mareezoun ki tasdeeq huvi hai. Ab tak halaak shudgan ki tadaad 112 hai. Kuwait mein corona ke mareezoun ki badhti huvi tadaad ke baais hukoomat ne 24 ghantay curfew nafiz kar rakha hai. –YTN STAFF