Friday, April 26, 2024
HomeTrending NewsKuwait mein khangi mulazimeen ki tankhwahoun mein takhfeef ka faisla

Kuwait mein khangi mulazimeen ki tankhwahoun mein takhfeef ka faisla

Kuwait City: Kuwait ney khangi edaroun ko mulazimeen ki tankhwahoun mein 50% tak tankhwahoun mein kami ki ijazat dainay ke liye qanoon mehnat mein tarmeem ka faisla kiya gaya hai. Kuwaiti parliament ney kaha hai ke khangi idaroun se mutaliq qanoon mehnat mein tarmeem karkay un companiyon ko jo corona bohraan se mutasir huvi hain is baat ki ijazat di jayegi ke wo mulazimeen ke sath yakjahti peda karkay bohraan ke zamane mein tankhwahin 50% tak kam kar sakti hain. 

Hukoomat Kuwait ne qanoon mehnat mein tarmeem ka musevida parliament ki maliyati committee ke hawalay kardiya. Manzoori ke baad tarmeem riyasat ke muqarrar kardah hifazati iqdamaat ke waqfay par mo-asar hogi jabkay tarmeem par amal daraamad naye coronavirus ki waba se nimatnay ke liye muqarrar hifazati tadabeer ka dorania khatam hotay hi ghair mo-asar hojayegi. 

Kuwaiti jareeday ne qanoon mehnat mein tarmeen ke hawalay se wazeh kiya ke qanoon mehnat ki pehli dafaa mein wazeer mehnat ko ye ikhtiyar diya jayega ke wo corona ki waba se bachao ke liye muqarrar hifazati iqdamaat o tadabeer ke baais aajroun ko ajeroun ke mehantane mein kami ki ijazat day den. Darasal hifazati tadabeer ke zamane main baaz companiyon ka kaam mukammal tor par aur baaz ka juzwi tor par moattal raha. 

Tarmeem ke bamujab khangi idaray apne mulazimeen ko mamooli mehnatane par khas rukhsat dene ke majaz ho jaienge. Kuwaiti kabeena tankhwahoun mein kami ke doraniye ka taayun keregi. Aajroun ko ajeroun ke sath yakjahti peda karkay ziyada se ziyada 50% tak thankhowa kam karne ki ijazat hogi. Ye ijazat company ka kaam band honay ke waqfay tak mehdood hogi. Tarmeem mein takeed ki gayi hai ke tankhwahoun mein kami mehnatane ki mamooli had se kam nahi ki ja sakti albata mulazimeen ke bakaya jat ka hisaab kitaab thankhowa mein kami se pehlay wali tankhowa ke hisaab se hoga. –YTN SATFF