Sunday, April 20, 2025
HomeSliderkuwait mein berooni mumalik ke gharelu amlay par pabandi

kuwait mein berooni mumalik ke gharelu amlay par pabandi

kuwait city:  Kuwait wizarat dakhla ne 2 asiayi mumalik sameit 25 africi mumalik se gharelu amlay ki daraamad band karne ka faisla karliya hai. kuwait akhbar al-qabs ke hawalay se kaha hai ke wizarat-e-dakhla ke matehat mehakma umoor aqamah ne Asia ke 2 mulkoun Indonesia aur bhutan aur Africa ke 25 mumalik se gharelu amlah laane par pabandi aaed kardi hai. un africi mumalik mein madagascar, jaboti, ethiopia, Cameron aur Zimbabwe shaamil hain. Roosi khabar-rasan idaray ke mutabiq kuwait wizarat-e-dakhla ne pabandi ka faisla kuwait ki wizarat kharja, wizarat sahet aur afraadi quwat ke idaray ki darkhwaston par kiya hai.

Mamnooa mumalik ki nai fehrist jari kar ke ye bhi wazeh kar diya gaya hai ke maazi mein jitni fehristein jari ki gayi theen woh mansookh kardi gayi hain aur ab nai fehrist hi nafiz-ul-amal hogi. Maazi mein Aritrya aur Laybirya se gharelo amlay ki daraamad par pabandi lagai gayi thi. nai fehrist mein un dono ka naam shaamil nahi hai. 8 mumalik se gharelu amlay ki daraamad ki ijazat barqarar rakhi gayi hai. un mein junoobi Africa , banane, sinigal, philippine, Srilanka, hindustan, Vietnam aur Nepal shaamil hain. wazeh rahay ke kuwait mein kaam karne walay ghair mulkion ka tahai hissa gharelu amlay se talluq rakhta hai. 2019 ki doosri seh mahi ke ekhtataam par unki tadaad saat laakh 24 hazaar record ki gayi thi. un mein teen laakh 54 hazaar mard aur teen laakh 70 hazaar khawateen hain. –YTN STAFF