Tuesday, May 21, 2024
HomeLatest NewsKuwait mein bakray ki qeemat 1. 5 crore rupiye

Kuwait mein bakray ki qeemat 1. 5 crore rupiye

Kuwait city: Baqra eid mein qurbani ke janwaroun ki aasman se batein karti qeematoun ke barey mein sab ko ilm hai lekin ab Kuwait mein ek aisa bakra samnay aaya hai jis ki qeemat hindustani aitbaar se 1.5 crore rupiye hain jo kay Kuwait mein is ki qeemat 60 hazaar dinar hai. Kuwait mein ek bakray ki nilami 60 hazaar dinar ( 5 lakh riyal ) mein hui hai. Usay poooray mulk mein apni noiyat ki pehli aur munfarid nilami qarar diya ja raha hai.
Tafseelaat ke mutabiq social media par apni noiyat ki is munfarid nilami ka video clip Viral hai. Nelaam honay walay bakray ka hajam ghair mamooli hai. Is ka rang safaid hai.

Video clip mein dekha ja sakta hai ke bakray ki nilami shuru ki gayi aur boli laganay walay raqam bedhate gaye yahan tak ke 60 hazaar kwaiti dinar mein bakra nelaam huva. Wazeh rahay ke Kuwait mein guzashta dinon duniya ka sab se mehanga Oont bhi 16 million Kuwaiti dinar mein nelaam huva tha. Saudi currency mein is ki qeemat 200 million riyal banti hai. Guinness book of world record mein duniya ke mehngay tareen Oont ke tor par is ka indraaj hochuka hai. Kuwait ke paas mehngay maweshioun ke hawalay se ek se zayed record hain.

Yaad rahe ke duniya ka sab se mehanga Oont Kuwait mein hai. Is ki qeemat 2 lakh Kuwaiti dinar hai. Saudi riyal mein ye raqam 200 million banti hai. Duniya ke mehngay tareen Oont ki video social media par viral hai. Is mein Oont intahi thehr thehr kar agay badh raha hai. Aam Oonton ke muqablay mein is ka wazan ziyada hai aur aawaz bhi mukhtalif hai. Social media ke sarfeen ke mutabiq Kuwaiti Oont duniya ke mehngay tareen Oont ke lehaaz se guinness book of world record mein shaamil karliya gaya hai. Usay poori duniya ka sab se mehanga janwar tasleem karliya gaya hai. –YTN STAFF