Sunday, April 20, 2025
HomeSliderKuwait mein 25 hazaar bairooni mumalik ke mulazmeen ko bar tarf karne...

Kuwait mein 25 hazaar bairooni mumalik ke mulazmeen ko bar tarf karne ka faisla

Kuwait city: Is waqt khaliji mumalik mein barsare mulazimat bairooni afraad ke liye halaat behtar nahi hain kyunkay Saudi Arab sameit deegar mumalik mein bairooni mulazmeen ko bar tarf karte hue un ke maqamat par muqami afraad ko mulazimat faraham karne ka rujhaan teezi se badh raha hai aur is rujhaan ki wajah se hazaroun bairooni afraad ko apni mulazimtoun se haath dhona padh raha hai. Aisi hi buri khabar ab Kuwait se masool horahee hai jahan 25 hazaar bairooni mulazmeen ko bar tarf karte hue un ke maqam par muqami afraad ko mulazimat faraham karne ka faisla kiya gaya hai.

Farogh afradi qowat ki Kuwaiti parliamani committee ke chairman Khalil Al-Salah ne elaan kiya hai ke Kuwait ne 25 hazar khair mulki sarkari mulazmeen ko subukdosh karkay un ki jagah Kuwait shehrioun ki taqarruri ka faisla karliya hai. Tafseelaat ke mutabiq Kuwait ewaan shehri khidmaat mein sarkari mulazimat ke muntazir hum vatnoun ki tadaad 6 hazaar reh gayi hai, Inhen anay walay dinoun mein mukhtalif sarkari idaroun mein tainaat kar diya jaye ga.

Al-Salah ne kaha hai ke ghair mulkioun ki jagah Kuwait hum vatnoun ko rozgaar faraham karne ki policy ke tehat guzashta 2 barsoun ke douran 4 hazaar 640 ghair mulkioun ko sarkari idaroun se bar tarf kiya gaya. Qaumi policy Kuwaitoun ko har haal mein rozgaar faraham karne ki hai. Mustaqbil qareeb mein 1500 Kuwaitoun ko bankoun mein mulazim bharti kiya jaye ga. Is faislay ke baad Kuwait mein mulazimat anjaam dainay walay hazaroun mulazmeen mein be cheeni payi jarahi hai. –YTN STAFF