Monday, April 21, 2025
HomeSliderKuwait ki Masajid mein ba-jamaat Namaz ki adaigi par aarzi pabandi

Kuwait ki Masajid mein ba-jamaat Namaz ki adaigi par aarzi pabandi

Kuwait City: Coronavirus ki wajah se saari duniya pareshan hai aur is ki rokk thaam ke liye hukoomatoun ki janib se kayi ek iqdamaat kiye jarahay jin mein awaami jalsa o juloos, Taqarib aur deegar Events par pabandi ayed kardi gayi hai lekin ab is mohlik waba ku dekhte huve kayi mumalik mein mazhabi ijitmaat par bhi pabandi lagai jarahi hain aur isi ki ek kari Kuwait mein Jummay ki Namaz ke alawa pajgana par bhi aarzi pabandi ayed kardi gayi hai.

Hukoomat Kuwait ne Corona ke khadshay ke baais tamam Masajid par Namaz ba-jamaat aarzi tor par rokk di gayi hai. 13 March ko Jummay ki Namaz Kuwait ki kisi bhi Masjid mein ada nahi ki gayi. Kuwait khabar-rasan idaray Kona ke mutabiq Kuwait wizarat auqaaf ne bayan mein Kuwait ke mutaliqa sahet hukkaam ki hidayat aur dar ul fiqa ke Fatwe ki bunyaad par ye faisla kiya gaya hai. Wizarat uqaaf ne kaha hai ke Masajid mein paanchoun Farz Namazoun ke liye muqarara waqt par azaan di jaye gi. Muezzen Loud Speaker se ye elaan bhi karen ge ke sab loog Namaz wahein ada karlen jahan wo is waqt mojood hain.

Kuwait wazeer insaaf Dr. Fahad Al-Afasy ne Masajid mein Jamaat ke sath Namaz par pabandi ke Fatwe ki wazahat karte huve kaha ke mulk mein fi al-waqt Coronavirus phela huva hai. Awam ko is ki girift mein anay se bachanay ke liye ahteyati iqdaam ke tor par ye iqdaam uthaya gaya hai. Kuwait mein hazaroun shehrioun aur muqeem ghair mulkioun ne Coronavirus se nimatnay ke liye ahteyati tadabeer ka elaan suntay hi khanay peenay ki ashya aur mukhtalif zurori samaan khareedna shuru kardiya hai. –YTN STAFF