Monday, April 29, 2024
HomeSliderKuwait ka Airlines shoba bad tareen bohraan ka shikaar, Tayyaroun mein 360...

Kuwait ka Airlines shoba bad tareen bohraan ka shikaar, Tayyaroun mein 360 musafereen ki jagah sirf 10 taa 12 afraad safar karne lagey

Kuwait City: Kuwait mein hawai safar ka shoba bad tareen bohraan ka shikaar hai jabkay Emirat aur ul-jaizair mein Corona ke naye mareezoun ka inkishaaf huva hai. Tafseelaat ke mutabiq Kuwait mein hawai safar ke sharah mein 80 feesad kami waqay hogayi hai jabkay shobay se wabasta companiyoun ko baday khasaray ka saamna hai.

Muqami akhbar Al-Qabas ki Report ke mutabiq hawai safar ke shobay ke mahireen ne kaha hai ke Coronavirus ki wajah se hawai safar ka shoba intahi mutasir hai. Mahireen ne kaha hai ke Corona ke khauf se logoun ne hawai safar multawi kardiye hain. Is se na sirf Kuwait balkay deegar kayi mumalik bhi mutasir hain.

Mahireen ne kaha hai ke Corona ka khauf is qader chaaya huva hai ke loog waba zada mumalik ke ilawa deegar mumalik ki taraf jana pasand nahi kar rahay jahan Corona nahi hai. Kuwait se Dubai, Doha ya dosray khliji mumalik ke liye jis flight mein 360 musafir huva karte they, Ab 10 se 12 afraad safar karte hain. Haalat ye hai ke nai Booking bilkul band hai balkay purani Booking bhi loog mansookh kar ke raqam wapas le rahay hain.

Mahireen ne kaha hai ke karobari maqasid ke liye safar intahi mehdood hogaya hai jabkay sayahat ki gharz se safar karne walay logoun mein se 60 feesad ne Booking mansookh karwadi hai. Emarati wizarat sahet ne kaha hai ke naye mareezoun mein 2 Roosi, 2 Italy, Germany aur Columbia ke ek ek shehri hain. Wizarat ne kaha hai ke mazkoorah afraad ko mulk mein rehtay huve virus muntaqil huva tha. Un ka virus ke shikaar mareez se mil jol raha tha.

Doosri taraf Al-Jazair mein Corona ke 3 naye mareezoun ki tasdeeq huvi hai. Al-Jazairi mehakma sahet ne kaha hai ke tenun mareez ek hi khandan ke afraad hain. Al-Jazairi hukkaam ne kaha hai ke naye mareezoun ke inkishaaf ke baad Corona ke mareezoun ki majmoi tadaad 8 hogayi hai. Hukkaam ke bamujab Coronavirus ke mareezoun mein se ek Italy ka bashindah hai jo Al-Jaizair Tail Company mein kaam karta hai. –YTN STAFF