Monday, April 29, 2024
HomeSliderKuwait aur Oman bhi Coronavirus ki zad mein

Kuwait aur Oman bhi Coronavirus ki zad mein

Dubai: Kheliji mumalik mein Mutahidda Arab Emirats aur Behren ke baad Kuwait aur Saltanat Oman mein bhi Coronavirus ke mamlaat Record par aeye hain. Arab Media ke mutabiq Kuwait ne Coronavirus ke naye mareez Record par anay ke baad qaumi tehwar ki sarkari aur awaami taqrebaat ghair muayana muddat ke liye mansookh kar dein. Kyun ke kabeena ne ailamiye mein kaha sorat e haal mamool ke mutabiq nahi hai. Is ka taqaza hai ke Kuwait awam aur tarikeen watan ki salamti aur un ki sahet ki khatir thos iqdamaat kiye jayen. Kuwait wazeer tijarat Khalid Al-Ruzaan ne Medical Mask, Coronavirus ke maayne mein kaam anay walay tibbi lawazmaat aur dawaoun ki baraamdaat par pabandi aed kar di.

Kuwait  wizarat sahet ne elaan kiya Irani shehar Mashhad se Kuwait anay walay 3 afraad Coronavirus mein mubtala paye gaye hain. Ibtidayi tibbi maaynoun ki hatmi Report aagai hai. Saltanat Oman ne bhi pehli martaba elaan kiya is ke yahan Iran se anay wali 2 Omani khawateen Coronavirus mein mubtala payi gayi hain. Omani wizarat sahet ne aalamia jari karte huve kaha hai ke dono khawateen ko Quarantine mein rakh diya gaya hai. Un ki haalat khatray se baher hai. Saltanat Oman ke sarkari TV ke mutabiq Iran aur Oman ke darmain tamam parwazein taa ittila sani band kar di gayi hain.

Is se qabal Behrens wizarat sahet ne guzashta roz subah elaan kiya tha ke Iran se anay wala ek Behreni shehri Coronavirus ka mareez paaya gaya hai. Fori tor par usay Quarantine muntaqil kardiya gaya. China ke baad sab se ziyada Coronavirus ke mareez aur is se honay wali amwaat Iran mein Record ki gayi hain. Turkey, Afghanistan, Iraq, Kuwait aur Saltanat Oman Iran ke liye apni parwazein band kar chukay hain. –YTN STAFF