Thursday, May 2, 2024
HomeOthersHealthkuttay khoon sungh kar cancer ki nishandahi karne mein kamyaab

kuttay khoon sungh kar cancer ki nishandahi karne mein kamyaab

New York: kuttay insaan ke wafadar hotay hain aur khaas kar maghribi mumalik mein kutton ka insanon ke sath talluq kuch ziyada hi gehra hota hai aur ab yeh daawa kiya gaya hai ke kuttay sungh kar Cancer  ka pata bhi lagayen ge .

Mahireen ke mutabiq kutton mein bo soonghnay ki ahliat Insaan  se 10 hazaar guna ziyada hoti hai aur isi wajah se hi duniya bhar ke security aur khufia idaray kuttoun ko khatarnaak aur Dhamakoun cheezon ki talaash ke liye istemaal karte hain. kuttay nah sirf zameen par balkay zameen ke andar kuch foot tak chhupayi gayi ashiya ki bo soonghnay ki ahliat bhi rakhtay hain , lehaza kutto ki isi salahiyat ko Amrici mahireen nay cancer ki tashkhees ke liye istemaal kiya , jis mein haeran kin tor par kutton nay kamaal karkay computerizied machinon ko bhi peechay chodh diya .

Amrici mahireen nay daawa kiya hai ke kuttay insani khoon ki bo sungh ke phephdoun ki cancer ki tashkhees karne mein kamyaab hogaye hain. Science mozuaat ke risalay Yourick alert ke mutabiq Amrici riyasat Florida mein ek ijlaas ke douran mahireen nay report paish ki ke kuttay insani khoon ki bo sungh ke phepdoun may cancer ki tashkhees karne mein kamyaab hogaye hain. report ke mutabiq Amrici society far Bio Chemsitry and molecular Biology ke salana ijlaas mein mahireen nay report paish ki, jis mein daawa kiya  gaya ke kutton nay khoon sungh kar cancer ki 97 feesad durust nishandahi ki .

Unhoun nay razakaar kutton ke 2 tarha ke khoon ke namoonay diye, jin mein se ek khoon un mareezon ka tha jinhein phephdoun ka cancer lahaq tha jab ke dosra khoon sahet mand insanon ka tha aur is imthehaan mein kutton nay 97 feesad durust nataij diye aur phephdoun ke cancer walay khoon ki nishandahi ki. mahireen ke mutabiq is tahaqeeq se yeh baat saabit hui ke kuttay cancer ki tashkhees mein mahireen ki madad kar saktay hain aur is yeh ke is muamlay par mazeed tahaqeeq ki zaroorat hai .

Mahireen nay bataya ke kutton ki pehli tahaqeeq ki kamyabi ke baad ab woh rawan baras ke aakhir tak kutton ke zariye cancer ki doosri qisam ki tashkhees ka tajrubah karenge. ab kutton ke zareya breast cancer ki tashkhees ka tajurbah kiya  jayega. yeh pehla mauqa nahi hai ke mahireen nay kutton ko cancer ki tashkhees mein madadgaar qarar diya ho. guzashta baras Bartanwi sciencedanoun nay bhi kaha tha ke kutton ko cancer sameit deegar amraaz ki tashkhees ke liye istemaal kiya  ja sakta hai. Bartanwi tahaqeeq se qabal japani mahireen nay bhi kutton ko amraaz ki tashkhees ke liye istemaal kia tha aur kaha tha ke kutton mein yeh marz tashkhees karne ki ahliat moujood hai .- YTN STAFF