Friday, April 26, 2024
HomeSliderKursi bachana ya sarkari khazana par aur bojh daalna, KCR mushkil mein

Kursi bachana ya sarkari khazana par aur bojh daalna, KCR mushkil mein

Hyderabad: Dubbaka aur GHMC intikhabaat mein  BJP ke hathon shikast ke baad Telangana ke cheif minister KCR ko apni kursi khatrah mein lagnay lagi hai jiske baad woh ab sarkari mulazmeen aur asatezaa  ko khush karne ki tayyariyan shuru kar chukay hain.

asatezaa aur sarkari mulazmeen ki janib se TRS hukoomat ki mukhalfat ke baad chief minister KCR ne pay reservation commission ki sifarshaat ke zareya mulazmeen aur Teachers ko khush karne ka mansoobah banaya hai. umeed ki jarahi hai ke  Jariya mah ke awakhr tak report paish karne ke liye commission se khwahish ki gayi. Hukoomat commission ki report ki bunyaad par April 2021 se tankhwahon aur deegar mara-aat mein izafah ka faisla karegi.

Telangana mein graduate Zumra ki qanoon saaz council ki 2 nishiston ke mujawaza intikhabaat ke paish e nazar hukoomat ne mulazmeen aur usaatzaa ki taied haasil karne ke liye pay reservation commission ki report haasil karne ka faisla kya hai. council ki do nishiston ke ilawa Khammam aur Warangal municipal corporations ke intikhabaat aaindah mah mutawaqqa hain. Telangana riyasat ke maali muaqqaf ki sorat e haal se waaqif karwanay ke liye cheif minister sarkari mulazmeen aur asatezaa ki tanzeemon ke numaindon se mulaqaat kar saktay hain.

Yahan is baat ka tazkara bhi ahem hai ke  asateza aur mulazmeen ne PRC ke alawa deegar mutalibaat ki yaksoi ke liye ehtajaji Laiha amal ka pehlay hi elaan kardiya hai .

cheif minister nahi chahtay ke intikhabaat se ain qabal mulazmeen aur usaatzaa ki narazgi barqarar rahay jis ka faida oppostion bilkhushoos BJP utha le. ab yeh sawal bhi ahem hai ke  30 feesad izafah ki soorat mein sarkari khazana par 1300 crore ka boojh aaed padhjayega  jabke doosri janib  ubooriraahat aur deegar sahulaton ke silsila mein Telangana ne Hindustan ki deegar reyaston se ziyada elanaat kiye hain .

sarkari mulazmeen wazifa par subuk doshi ki Umar mein izafah ka bhi mutalba kar rahay hain jis ka cheif minister ne taiqun diya tha. PRC report ki sifarshaat ka kabini ijlaas mein jaiza lainay ke baad hi hukoomat amal aawri ka faisla karegi. Isi douran pay reservation commission ke zaraye ne report paish karne ke zimn lab kashai se  gurez kiya aur sirf itna  kaha ke commission ka kaam ikhtitami marahil mein hai.

Riyasat Telangana mein tankhwahon aur deegar mara-aat par 24896 crore ka kharch aata hai. KCR is waqt kaafi aazmaishi waqt se gzrrhe hain kyunkay ek janib agar sarkari mulazmeen aur asaatezaa ka etemaad haasil nahi kiya gaya to unki kar saki ja sakti hai aur agar inhen mara-aat, tankhwahon mein izafah aur deegar mara-aat diye gaye to sarkari khazana par bada maali boojh par jayega.