Thursday, May 9, 2024
HomeSliderKTR ka TRS qaideen aur cadre ko dotok intibah

KTR ka TRS qaideen aur cadre ko dotok intibah

TRS ke working sadar aur IT wazeer K T Rama Rao ne party rehnumao aur Cadre ko mutnabba kya hai ke agar party Dubbaka aur GHMC faisloun se sabaq seekhnay mein nakaam rahi to 2023 ke Assembly intikhabaat samait aindah intikhabaat mein GHMC ke nataij duhraey jasaktay hain. KTR are Telangana Bhawan mein party ke New muntakhib GHMC Corporators se khitaab karte hue kaha ke haliya intikhabaat ke nataij se party qaideen aur cadre ko sabaq lainay ki zarurat hai, nahi to assembly bhi haath se jaye gi

TRS ko haliya Dubbaka assembly zimni intikhab ke sath sath GHMC intikhabaat mein bhi BJP hathoun ek bada jhatka laga. GHMC mein party ki tadaad 2016 mein 99 nashiston thi jo 2020 intikhabaat mein is se ghat kar ab sirf 55 hogayi hai, halaanke yeh wahid sab se barri jamaat ban kar ubhri hai lekin sabiq ke bah nisbat yeh nataij ek maenow mein TRS ki barri shikast hai. KTR ne kaha ke TRS ne aisi nashiston par kamyabi haasil ki jahan corporators ko naye cheharon se tabdeel kya gaya tha aur woh nashiston se mahroom hogaye. unhon ne kaha ke is se zahir hota hai ke kis tarhan logon ko TRS corporators ke kaam karne ke andaaz aur karkardagi se nalan hai. unhon ne mazeed kaha ke hamein GHMC intikhabaat ke nataij ne hamein behtar karkardagi ka muzahira karne ka mauqa diya hai .

KTR ne TRS corporators ke khilaaf bade paymanay par bud unwani ke ilzamaat, zameen ke tanazeaat, tasfiyon mein mulawis honay, tameeraat ki ijazat dainay ke liye rishwat mangnay ke ilzamaat ka hawala dete kaha yeh bhi party ke liye nuqsaan da anasir hain. TRS ke working sadar ne naye muntakhib party corporators ko is se sabaq seekhnay aur ikhlaas aur lagan ke sath logoun ki khidmat karne ki hidaayat di hai .

Unhon ne naye muntakhib corporators se kaha ke woh logoun ko harasan na karen. apne paish ro ki terhan raqam ya rishwat ka mutalba nah kere warna is se aindah intikhabaat mein party ke imkanaat par assar pade ga. unhon ne inhen awam dost honay ka mashwara diya aur apne wardoun ki majmoi taraqqi ke liye jad-o-jehad karte kaha ke aisi koshishoun se zameeni satah par TRS ko taqwiyat miley gi. aur inhen aindah intikhabaat mein dobarah muntakhib honay ka mauqa farhaam karen.