Hyderabad: Siyasi aitebaar se Andhra Pradesh ke ahem maqam Koppam ko anqareeb municipality headquarters mein tabdeel karne ka mansoobah banayagya hai aur reyasti hukoomat ki hidaayat ke baad zila ke arbab majaz ne is zimn mein ek tajweez bhi rawana kar di hai jis mein 7 dehi panchayaton ko shehar ke sath Inzimam karte hue ek naye municipality mein tabdeel karne ki sifarish ki gayi hai.
Tareekhi maqam Koppam fil haal kayi ek badey panchayat ke sath apni ek shanakht banaye hue hain aur ab reyasti hukoomat ko ek hafta qabal rawana ki gayi tajweez mein usay municipality may tabdeel karne ki sifarish ki gayi hai.
Markaz ke rurban scheme ke tehat reyasti hukoomat ne Koppam ko taraqqi ke liye muntakhib kiya hai. qabal azeen markaz ne rurban scheme ke tehat TDP daur-e-hukoomat mein hi 100 crore rupaye Manzoor kiye they lekin Koppam ki taraqqi mein koi kaam nahi hua jis ke baad yeh fund wapas markaz ko bhaij diya gaya tha.
TDP ke daur-e-hukoomat ke ibtidayi marhala mein hukoomat ne yeh tajweez di thi ke Koppam ko iske atraaf ke 10 gaon ke sath Inzimam karte hue is ki taraqqi ko yakheeni banaye lekin yeh tajweez smraavr nateeja mein tabdeel nahi hosaki aur ohdedaron ne is mein se Gondaladagaram, sattipeli aur deglipeli dehatoun ko is tajweez se bahar kardiya tha. guzashta mah YS jagan mohan reddy ke barsar iqtedar anay aur chief minister ban jaaney ke baad unhon ne ohdedaron ko talabb karte hue Koppam aur is ke atraaf ke 7 dehatoun ka Inzimam karte hue usay ek municipality mein tabdeel karne ki hidaayat di hai.
Jin dehatoun ko Koppam municipality mein Inzimam kiya jayega woh chalaypeli, Dalawai , kotapeli, samagutapeli, chimana yanapeli, shaamil hain. 2011 ki mardum shumari ke mutabiq mazkoorah dehatoun ki jumla abadi 48,537 nafoos par mushtamil hai aur agar tajweez ko Manzoor karliya jayega to Koppam nah sirf ek municipality mein tabdeel hoga balkay is ki taraqqi bhi mumkin hogi. –YTN STAFF