Sunday, April 20, 2025
HomeSliderKolkata ke khilaaf Delhi Playoff mein rasai ke liye koshan

Kolkata ke khilaaf Delhi Playoff mein rasai ke liye koshan

Abu Dhabi: Guzashta muqablay mein huvi shikast se baher nikal kar Delhi Capitals team hafta ko Kolkata Knight Riders ke khilaaf match mein IPL ke Playoff mein jagah bananay ke maqsad se utre gi jabkay Kolkata ki team wapsi ki tawaquaat ko barqarar rakhna chahay gi. Delhi 10 Matches mein 7 fatohat, 3 shikast aur 14 nishanaat ke sath Point Table mein sare fehrist hai. Ek kamyabi Delhi ko Playoff mein le jaye gi aur Delhi is ke baad pehlay 2 maqamat mein jagah bananay ki koshish kere gi. Taham Delhi ko pichlle Match mein naaqis batting ki wajah se Kings XI Punjab ke khilaaf 5 wicket se shikast ka saamna karna pada tha. Delhi ko is shikast se wapsi karna hogi.

Doosri taraf Kolkata 10 Matches mein 5 fatohat, 5 shikast aur 10 nishanaat ke sath chouthay number par hai. Kolkata ko Playoff ko yakeeni bananay ke liye baqi 4 mein se 3 match jeetnay ki zaroorat hai. Kolkata ne apne aakhri match mein Royal Challengers Bangalore ke khilaaf batting mein naaqis karkardagi ka muzahira kiya tha aur team 20 over mein 84 runs dhair hogayi thi jo is IPL mein kisi bhi team ka sab se kam score hai. Agar Kolkata ko Delhi ke samnay koi Challenge pesh karne ki zaroorat hai to usay apni batting mein behtari lani hogi.

Kolkata ke Captain Eion Morgan ne kaha ke hum is Match se sabaq sekhen ge aur aglay Match mein agay badhenge. Tournament ki noiyat ke pesh-e-nazar aap ko har team ke khilaaf apni poori koshish karni hogi. Umeed hai ke Sunil Narayan aur Andre Russell jald hi dastyab ho jaien ge aur hum jantay hain ke jab is miyaar ke log aur khaas tor par All Rounder dastyab hon ge to mamlaat mukhtalif hon ge. Umeed hai ke woh jald hi dastyab ho jaien ge.

Delhi Capitals ke Fast Bowler aur IPL ke mojooda Season ke sab se ziyada wicket lainay walay Kagiso Rabada ne kaha ke Kings XI Punjab ke khilaaf match mein shikast ki koi fikar nahi hai. Kagiso Rabada ne kaha ke mujhe nahi lagta ke yeh tashweesh ki baat hai. Hum sirf ek hi match haare hain aur yeh hota rehta hai. Ghabranay aur ziyada gham karne ki zaroorat nahi hai. Hamein yeh andaza karne ki zaroorat hai ke hum ne kahan ghalti ki hai aur hum pehlay hi yeh kaam kar chuke hain. Delhi Abu Dhabi mein apne dono match gawaa chuki hai aur team ko is ground mein shikast ke silsilay ko todnay ki zaroorat hai.