Dubai: Kolkata Knight Riders aur Rajasthan Royals ke darmiyan itwaar ko IPL muqablay mein dono teams ke liye karo ya maro suratehaal ka saamna hai. Rajasthan 13 matches mein 6 fatohat, Saat nakamion aur 12 points ke sath panchwin maqam par hai, Jabkay Kolkata 12 points ke sath chhatay number par hai. Dono teams ke mabain yeh match karo ya maro ka match hai. Is muqablay ko jeetnay wali team ki 14 point ke sath umeeden barqarar rahen gi jabkay harnay wali team Playoff ke muqablay se baher hojaye gi.
14 points tak pounchanay ke baad bhi team apne Playoff ki jagah ko yaqeen nahi kar sakti hai kyunkay inhen doosri teams ke nataij aur net run rate bhi dekhna hoga. Lehaza Kolkata aur Rajasthan ko is match mein jeet ke sath sath apne net run rate mein behtari laane par tawajah deeni hogi kyunkay aakhri masawaat mein net run rate faisla kun hoga.
Rajasthan ne guzashta rooz Abu Dhabi mein Kings XI Punjab ko 7 wickets se shikast di. Punjab ne Cris Cayle ki 99 runs ki Inning ki badolat 4 wickets par 185 runs ka mazboot score banaya tha lekin Rajasthan ne 17.3 over mein 3 wickets par 186 runs bana kar match jeet liya. Rajasthan ki janib se Ben Stokes ne 50, Sanju samson ne 48, Captain Steven Smith ne not out 31 aur Jos Buttler ne not out 22 runs banaye thay. Doosri janib Kolkata ko apne guzashta match mein Chennai Super Kings ke khilaaf 6 wickets ki shikast ka saamna karna pada, Jis se un ki umedon ko gehra dhaka laga. Kolkata ke paas jeetnay ka mauqa mila tha lekin aakhri 2 over mein yeh mauqa un ke haath se nikal gaya aur ab usay kamyabi ke baad bhi deegar teams ke nataij aur run rate par ka intezaar karna hoga.