Thursday, May 8, 2025
HomeSliderKohli ko khamosh karna series mein kamyabi ki kuleed : Cummins

Kohli ko khamosh karna series mein kamyabi ki kuleed : Cummins

Sydney: Australiyai fast bowler Pat Cummins  Hindustani captain Virat kohli ko badi wicket samajte hain jisay woh Hindustan ke khilaaf mujawaza series mein apna nishana banayenge. Is zimn mein unhon ne kaha ke dora karne walay captain ko khamosh rakhna mezban team ke series mein kamyabi ke imkanaat ke liye bohat ahem hoga.

Unhon ne mazeed kaha ke mere khayaal mein dono teamon mein ek ya 2 batsman hain aur woh badi wickten hain. ziyada tar teamon ke Paas captain hain. England ke liye Joe root, newzealand ke liye kane williamson aur hindustan ke liye kohli. Aap ko aisa lagta hai ke agar aap unki wickten haasil karlen to muqabla ba-aasani apni team ke haq mein kar saktay hain. Cummins ne fox cricket se izhaar-e-khayaal karte hue kaha ke woh ( kohli ) hamesha ek bada nishana rehta hai.

Lehaza umeed hai ke hum usay khamosh kar sakte hain. Cummins jinhein naib captain ki hesiyat se white aur red baal dono squad mein shaamil kiya gaya hai woh UAE se wapsi ke baad is waqt sydney mein qarantina ki muddat mukammal kar rahay 11 australiyai khiladion mein se ek hain jahan unhon ne IPL mein Kolkata night riders ke liye khela tha. sydney cricket ground mein hindustan ke khilaaf iftitahi ODI ke mauqa par unka qarantina ka daur khatam hoga. Cummins ne kaha ke Australia series mein hindustan ko sakht muqaabla denay ke liye poori terhan tayyar hai.

Unhon ne mazeed ka ye bohat badi series honay wali hai. zahir hai hum apni sarzamen wapas aaye hain. hotloun aur qarantina mein bohat ziyada waqt guzaarne ke alawa mujhe lagta hai ke hamari tayari vaqata umdah horahi hai. yaad rahay ke dora-e-Australia par mehdood over ki cricket mein hindustan ko jarehana opener Rohit Sharma ki khidmaat dastab nahi hai jabkay 4 test muqablon ki series mein bhi kohli pehlay test ke baad watan wapas lout jayenge jiska maizban team faida uthane ki poori koshish karegi.