Tuesday, May 7, 2024
HomeSliderKohli ki team ko Knockout marhalay mein behtar muzahira karna hoga :...

Kohli ki team ko Knockout marhalay mein behtar muzahira karna hoga : Ganguly

Kolkata : Hindustani cricket control board ke mumkina naye sadar aur sabiq hindustani captain Sourav ganguly ne kaha ke Hindustan ek bohat achi team hai lekin usay Bade tournament jeetnay honge. Ganguly ne eden garden mein bengal cricket association ( CAB ) ke head quarter par media se kaha Hindustan ek bohat achi team hai lekin woh abhi tak kohli ki captani mein aalmi tournament nahi jeet payi hai. mera itna hi kehna hai ke kohli ki team ko bade tournament jeetnay ki zaroorat hai. mein yeh nahi keh raha hon ke woh har baar jiiten kyunkay yeh mumkin nahi hai lekin hum saat badey tournaments mein khitaab nahi jeet paye hain.

Kohli ki team ne gharelo satah par apna aisa dabdaba paeda kiya hai ke is ka mawazna steve waghs aur ricky Ponting ki taaqatwar autraliyai teamon se kiya ja raha hai aur sath hi woh beron mulk ka dora karne wali behtareen teamon mein se ek hai lekin MS dhoni ki captani mein 2013 ki champions trophy jeetnay ke baad se Hindustan ki senior mard aur khatoon team mein se koi bhi bada khitaab nahi jeet payi hai.

Hindustan 2015 aur 2019 ke ODI world cup aur sath hi 2016 ke T20 world cup ke Semi final mein pohancha hai jabkay woh 2014 ke T20 world cupp aur 2017 ki champions trophy mein runner up raha hai. khawateen team 2017 world cup ke final mein England se haari thi aur 2018 T20 world cup ke Semi final mein bhi England se udh gai thi. sabiq captain ganguly ne kaha hindustani team deegar teamon ke muqablay kahin behtar hai lekin is ke badey Knockout muqablon mein zehni mazbooti dikhani hogi. kohli ko is maslay par ghor karna hoga aur yeh dekhna hoga ke aagey aisa na ho.

Team mein kaafi salahiyat hai warna Semi final se pehlay tak woh itna achi karkardagi nahi kar paate. sadar ke ohday ke liye Ganguly wahid umeed waar hain aur 23 october ko BCCI ki aam ijlaas mein un ke naye sadar ban’nay ka elaan kardiya jayega. –YTN STAFF