Tuesday, April 30, 2024
HomeSliderKohli ki dobarah number 3 par wapsi mutawaqqa

Kohli ki dobarah number 3 par wapsi mutawaqqa

New Delhi: Hindustan ko Australia ke khilaaf Mumbai mein pehlay oneday mein huvi 10 wicket ki sharamnaak shikast ne Hindustani captain Virat Kolhi ko chouthay number par khailne par dobarah sochne par majbor kar diya hai. Kohli is tarteeb par khailne utare aur nakaam rahay jis ke baad unhoun ne kaha hai ke inhen 4 number par khailne ke baray mein dobarah khoor karna hoga. Vaisay bhi 4 number ka maqam Hindustan ke liye guzashta 2 saal mein sab se bada dard sar bana huva hai aur ab tak is ka koi hal nahi nikal paaya hai.

Rohit Sharma Australia ke khilaaf oneday series ke liye team mein wapas aeye jabkay is se pehlay Sri lanka ke khilaaf T20 series se inhen aaram diya gaya tha. Shikhar Dhawan aur K.L Rahul dono accha khail rahay they. Tenu ko hi pehlay oneday mein utaara gaya jis mein Kohli ko chouthay number par khelna pada. Is se pehlay Sri lanka ke khilaaf aakhri T20 mein Kohli chhatay number par khelne utre they.

Kohli ke chouthay number par ane ki wajah se Kedar Jadhav eleven mein jagah nahi bana sakay. Rohit 10 run banakar out hue jabkay Dhawan  ne 74 aur Rahul ne 47 run banee. Kohli 16 runs hi bana sakay. Inhen leg spinner Adam Zampa ne apni hi gaind par shandaar catch out kiya. January 2015 ke baad se Kohli ne 4 number par khailtay hue 16, 7, 12, 11, Not out 3 aur 4 jaisay mamooli score banee hain.

Kohli ne apne career mein teesray number par khelnete hue 180 matchoun mein 36 Centuries aur 45 nisf Centuries ki madad se 9509 runs banee hain jabkay 4 number par unhoun ne 39 matchoun mein 7 Centuries aur 8 nisf Centuries ki madad se 1767 runs banee hain. Kohli ne number 4 par aakhri martaba bada score November 2014 mein banea tha. Mumbai mein match ke baad Award ki takseem ki takreeb mein Kohli ne tasleem kiya ke jab bhi 4 number par unhoun ne batting ki team ko faida nahi huva hai. –YTN STAFF