Dubai: Captain Virat Kohli ki Royal Challengers Bangalore Tournament se taqreeban baher hochuki Chennai Super Kings ke khilaaf itwaar ko honay walay muqablay mein IPL ke Playoff ka ticket haasil karne ke iraday se utre gi. Kohli ke Challengers ne IPL ke is season mein shandaar karkardagi ka muzahira kiya hai aur yeh team Playoff mein jagah bananay se sirf ek kamyabi daur hai. Bangalore 10 Matches mein 7 fatohat, 3 shikast aur 14 nishanaat ke sath teams ke Point Table mein teesray number par hai. Bangalore ke Delhi Capitals aur Mumbai Indians ke barabar 14 point hain lekin net run rate ki bunyaad par woh teesray number par hai.
Bangalore ke samnay Chennai ki team hai jis ki mayoos kun karkardagi is Tournament mein musalsal behas ka mauzo bani hui hai. Kohli ke paas mauqa hai ke woh kamzor pad chuki Mahendra Singh Dhoni ki Chennai team ko shikast den aur Playoff mein jagah yakeeni karne ke baad taap 2 maqamat par jagah bananay ki koshish karen. Chennai 11 Matches mein mehez 3 fatohat aur 8 shikast ke sath point table mein aakhri number par hai.
Chennai ki yeh haalat hai ke usay apne baqi 3 match baday farq se jeetnay hon ge aur umeed karni hogi ke 4 aur teams bhi 12 ke score par aakar ruken lekin Chennai ki haliya karkardagi se aisi koi umeed nahi ja sakti. Chennai ab doosri teams ka khail bigaar sakti hai. Chennai ko guzashta muqablay mein Mumbai ke khilaaf 10 wicket se shikast ka saamna karna pada tha jo IPL ki tareekh mein is ki pehli 10 wicket ki shikast hai. Bangalore ne apne guzashta muqablay mein Kolkata Knight Riders ko 84 runs par dhair karne ke baad 8 wicket se kamyabi haasil ki thi. Bangalore batting aur bowling donu lehaaz se behtar form mein hain aur woh Chennai ke khilaaf jeet ki mazboot dawaydaar ke tor par utre gi.
Chennai ke mojooda mayoos kun muzahiron ka Kohli mukammal faida uthany ke khwahan hon ge aur is muqablay mein unki nazrain Playoff mein rasai ke ilawa ibtidayi 2 teams mein jagah bananay ke liye behtar run rate par nazrain markooz hon gi. Alawa azeen guzashta muqablay mein nai gaind se intehai shandaar aur record bowling karne walay Mohammad Siraj is muqablay mein bhi tawajah ka markaz hon ge aur Kohli un se ek aur is terhan ke muzahirey ki umeed karen ge.