Thursday, May 16, 2024
HomeSliderKohli ki Adam mojoodgi Hindustan ke liye bada nuqsaan : Smith

Kohli ki Adam mojoodgi Hindustan ke liye bada nuqsaan : Smith

Melbourne. Australia ke sabiq captain stevin Smith  ka khayaal hai ke hindustani team ke captain virat kohli ka team mein na hona Hindustan ke liye nuqsaan da saabit hoga.

Kohli ne pehlay test ke baad apne bachay ki paidaiesh ke sabab watan lotney ka faisla kiya hai. unki ghair mojoodgi mein team ke naib captain Ajinkya Rahane team ki captani sanbhalainge lekin Smith  ka khayaal hai ke kohli ke nah honay se maheman team ko nuqsaan hoga halaanke unhon ne kohli ke mulk wapas jane ke faisla ki tareef ki .

Smith ne kaha ke mujhe yaqeen hai ke unke oopar Australia dora poora karne ka dabao hoga lekin unhon ne pehlay bachay ki paidaiesh ki wajah se ghar jane ka jo faisla kya hai is ki tareef ki jani chahiye. Yeh acha hai ke woh apne bachay ki paidaiesh ke waqt wahan mojood rehna chahtay hain. Pehlay test mein shikast ke baad deegar muqablay se pehlay kohli ka team mein nah hona Hindustan ke liye bada nuqsan hai chunkay kohli ne pehlay test ki pehli inning mein shandaar batting ki thi. Mein ne pehlay bhi kaha tha aur phir se keh raha hon ke aisay waqt mein bhi apne faislay par qaim rehne ke liye kohli ki tareef ki jani chahiye.

Australia ne Hindustan ko pehlay test ki doosri inning mein 36 runs par dhair kardiya aur 8 wicketon ki kamyabi haasil ki thi. Yeh hindustani team ka test cricket mein aqal tareen score ka record hai. Australia ki team pehli inning mein peechay honay ke bawajood muqaabla jeetnay mein kamyaab rahi.

Smith ne kaha khail ke teesray din fast bowlron ne jis tarhan ki bowling ki woh guzishta paanch barson mein hamaray bowlron ki sab se behtareen thi. bowlron ne jis length mein bowling ki woh behtareen thi. kayi martaba bowler koshish karta hai aur misbet ho kar bowling kere aur is din bowlron ne aisa hi kya.

Smith  pehlay test hi se apne zakham se pareshan hain aur unhon ne Adelaide mein pehlay test se pehlay practice session bhi darmiyan mein chod diya tha is khusos mein unhon ne kaha ke abhi bhi inhen thodi pareshani hai lekin yeh theek hojayegi.

Unhon ne kaha ke yeh aisa hai jisay mujhe jald theek karna hoga. 2014 se hi mere sath yeh diqat horahee hai. Agar mein musalsal chalta hon to theek rehta hon lekin ziyada der bethnay se diqat hoti hai. Mere khayaal se jald hi yeh theek ho jayega.