Monday, April 21, 2025
HomeSliderKohli aur Smith ki batting aur teams ka muzahira tawajah ka markaz

Kohli aur Smith ki batting aur teams ka muzahira tawajah ka markaz

Dubai: Apne guzashta Match haar ne wali captain Steve Smith ki zair qayadat Rajasthan Royal aur Virat Kohli ki zair qayadat Royal Challengers Banglore hafta ko kamyabi ki raah par wapsi ke iraday se muqaabla mein utrain gi. Guzashta match mein Rajasthan ko Delhi Capitals ke khilaaf 13 runs se shikast ka saamna karna pada tha jabkay Bangalore ku Kings XI Punjab ne 8 wickets se shikast di thi. Rajasthan ke 8 matches mein 3 fatohat, 5 nakamiyoo ke sath 6 points hain aur teams ki saf bandi mein woh satwen number par hain. Bangalore 8 matches mein 5 fatohat, 3 nakamiyoo ke baad 10 nishanaat ke sath teesri maqam par hai.

Rajasthan ki batting line Delhi ke khilaaf behtar muzahira karne mein nakaam rahi thi. Agarchay Ben Stokes aur Jos Buttler ne team ko umdah aaghaz faraham kiya lekin team aakhir tak is aghaaz ku  barqarar nahi rakh saki aur usay shikast ka saamna karna pada. Team ke Captain Smith ( 1 ) bhi apni karkardagi se team ke hauslay buland karne mein nakaam rahay. Middle order mein Sanju Samson ( 25 ) aur Robin Uthappa ( 32 ) ne Inning ku sambhalay ki koshish ki lekin un ke out honay ke baad match Rajasthan ke haath se nikal gaya.

Rajasthan ko Stokes se kaafi umeeden hain aur Bangalore ke khilaaf un ki batting team ke liye bohat ahem saabit hosakti hai. Bangalore ke liye Stokes aur Buttler ki jodi ko sastay mein nimtana zaroori hoga. Is ke baad Kohli ke Bowlers ko Smith aur bil akhir Rahul Tewatia ke Challenge par qaboo paana hoga. Bowling mein Rajasthan ki tawaquaat ek baar phir Jofra Archer, Jaydev Unadkat aur Stokes se hon gi. Bangalore ne Punjab ke khilaaf batting mein behtar karkardagi ka muzahira kiya aur Captain Kohli ne ek martaba phir apni karkardagi se team ko mazboot kiya. Taham inhen bowling shoba mein behtari laane ki zaroorat hai jo Punjab ke khilaaf mukammal nakaam tha.

Kohli ne Punjab ke khilaaf match ke baad yeh bhi aitraaf kiya tha ke team ka bowling shoba is match mein tawaqqa ke mutabiq muzahira karne mein nakaam raha hai. IPL 13 mein dono teams ke mabain yeh dosra match hoga. Is season ke shuru mein Rajasthan aur Banglore ke mabain match khela gaya tha jahan Bangalore ne Rajasthan ko 8 wickets se shikast di thi. Bangalore ki team is record ko barqarar rakhna chahay gi jabkay Rajasthan pichli shikast ka badla letay hue nazar aaye ga.