Saturday, May 4, 2024
HomeSliderKohli aur Shami ki ghair moujoodgi ka faida uthayenge: Langer

Kohli aur Shami ki ghair moujoodgi ka faida uthayenge: Langer

Melbourne: Australia ke coach Justin Langer  ne kaha hai ke hindustani cricket team ke captain kohli aur Mohammad Shami ki ghair mojoodgi ka faida maizban team ko miley ga. Kohli Adelaide mein khailay gaye pehlay test ke baad watan lout gaye jabkay Shami zakhmi ki wajah se poori series se bahar hogaye hain. Australia ne pehla test 8 wicketon se jeeta hai aur dono teamon ke darmiyan dosra test 26 decemeber se khela jaye ga. Langer  ne kaha ke kohli duniya ke behtareen khiladion mein se ek hain aur Shami Hindustan ke ahem fast bowler hain. Woh kaafi ba-salahiyat hain. Un dono khiladion ke nah honay se australiyai team ko faida mileyga lekin hamein sakht mehnat karna hogi. Hamein pata hai ke team ko pehlay din se hi mazboot shuruvaat karni hogi aur agar Rahane captani sanbhalainge to un par dabao banana hoga.

Unhon ne kaha ke hamari hikmat-e-amli mein koi tabdeeli nahi aayegi lekin jab bhi kisi team ka behtareen khiladi team mein nahi hota hai to woh team thori kamzor hojati hai. yeh haqeeqat hai aur is mein hamein faida mileyga.

Langer  ne kaha hai ke Australia dosray muqablay ke liye pehlay test walay hi khiladion ko barqarar rakh sakti hai. unhon ne kaha ke mujhe nahi lagta ke aakhri test match ke aakhri eleven mein koi tabdeeli hosakti hai. guzishta kuch dinon mein duniya mein jo horaha hai usay dekhte hue hum guzashta muqablay ki team ke sath hi khelna pasand karenge.

dosray test ke liye australiyai team mein David warner shaamil nahi hain aur unki jagah ek martaba phir mathew wade aur burns opening jodi ke tor per khelne utar sakte hain. Langer  ne kaha ke warner poori tarhan fit nahi hain aur hamen umeed hai ke woh series ke deegar muqablon mein khelainge.