Monday, April 29, 2024
HomeSliderKohli 12 saal mein pehli martaba century bananay mein nakaam

Kohli 12 saal mein pehli martaba century bananay mein nakaam

New Delhi: Hindustani captain aur run machine Virat kohli ke shandaar career mein 12 barsoun ke taweel arsa ke baad ek calendar saal mein kisi bhi format mein koi century nahi bani lekin yeh bhi zehen nasheen hona chahiye ke rawan saal ka ek taweel arsa corona ki Nazar hua. Kohli Australia doray mein chaar test matchon ki series ka pehla match khailnay ke baad mangal ke roz adelaide se watan ke liye rawana hogaye hain. Hindustan ke sab se kamyaab test captain kohli ko adelaide mein khailay gaye pehlay day. night test mein Australia ke khilaaf aath wicket se shikast ka saamna karna pada. is match ki doosri inning mein maheman team apni tareekh ke sab se kam score 36 run par dhair hui hai.

Captain Kohli January mein apne pehlay bachay ki paidaiesh ki wajah se watan lout rahay hain. Kohli ke shandaar career mein 12 barson ke taweel arsa ke baad yeh pehla mauqa hai jab unke bat se koi century nahi bani hai. kohli ne apne ODI career ki shuruvaat 2008 mein ki thi aur is saal unhon ne paanch ODI khailay thay lekin koi century nahi bana sakay thay. kohli ne is ke baad har saal mein century banai. 2020 hi aisa saal hai jis mein kohli one day ya test format mein koi century nahi bana sakay hain. Corona se mutasir 2020 mein Kohli ne 9 ODI khailay aur 431 runs banaye hain. Is saal unka behtareen score 89 runs raha hai.

Kohli ne apna test career 2011 mein shuru kiya tha aur is saal paanch test matchon may koi century nahi banai thi lekin 2011 mein kohli ne 34 ODI muqablon mein 4 centuries banai thi. Saal 2011 ke baad se kohli ke bat se har saal century bani hai lekin 2020 mein woh koi century nahi bana paye. unhon ne is saal teen test khailay aur 116 runs banaye. is saal unka sab se ziyada score 74 raha jo unhon ne Adelaide test ki pehli inning mein score kiya hai.

apne career mein kohli ne 87 tEst matchon mein 7318 runs, 251 ODI matchon mein 12040 runs aur 85 T20 mein 2928 runs banaye hain. unhon ne abhi tak bain Ul aqwami T20 mein koi century nahi banai jabkay test mein unhon ne 27 aur ODI mein 43 centuria score karli hain.