Hyderabad: Hukoomat-e-Telangana ki janib se riyasat ko aankhon ke amraaz se pak bananay ke liye jo scheme kanti velugu shuru ki gayi thi is ka ibtida mein kaafi hosla afzaa nateeja Bar aamad hua lekin mareezon ko ibtidayi tashkhees ke baad aankhon ke operation ki jo tajweez doctoron nay di thi un mein mareezon ki ek kaseer tadaad nay doctoron ki tajweez par amal na karte hue operation nahi karwaya hai. intizamia wajohaat ka pata laganay mein hunooz nakaam hai ke aakhir kyun awam nay doctoron ki janib se operation ki tajweez di jaaney ke bawajood is par amal nahi kiya hai
Kanti velugu scheme ka aaghaz august 2018 mein hua aur is ke tehat riyasat mein mein 3.5 crore abadi ko aankhon ke amraaz se mehfooz rakhnay ki koshish ki gayi thi aur is scheme ke tehat riyasat Telangana se 8.6 feesad awam nay istifada kiya arbab majaz ney sirf rangareeddy ki ek misaal dete hue kaha ke is riyasat mein 60 hazaar mareezon ko doctoron nay ibtidayi tashqees ke baad deegar marakaz se rujoo karne ki hidaayat dainay ke alawa inhen operation ki tajweez bhi di thi, lekin un mein se sirf 8 hazaar afraad nay hi doctoron ki tajweez par amal kiya hai jabkay ke 52 hazaar se zayed mareezon jinhein Dr nay operation ki tajweez di thi unhon nay hanooz apne operation nahi karwaye hain .
Rangareddy ke zilai intizamia ney 27 Mandals mein awam ke liye aankhon ki Tashqees ke marakaz qaim kiye they jahan 60 hazaar se zayed afrad ne apni aankhon ki tashqees karwai thi aur ibtidayi karwai ke baad doctoron ney inhen aankhon ke deegar amraaz ke ilaaj ke liye dosray marakaz se rujoo honay aur operation karwane ki tajweez di thi lekin un mein sirf 8000 mareezon ney operations karwaye hain jabkay 52 hazaar se zayed mareezon ney doctoron ki hidaayat par hanooz amal nahi kiya hai. doctoron ki janib se aankhon ke operation karwane ki tajweez di jaaney ke bawajood awam ki janib se hidaayat par amal na karne ki wujohaat maloom karne mein hanooz reyasti aur tibbi amlah nakaam hi hai. aisa mehsoos hota hai ke ke kanti velugu scheme ke aaghaz par awam ney jo josh wa-kharosh dekhaya aur hosla afzaa nataij faraham kiye hain ab woh scheme dosray marhalay mein nakaam hoti dikhayi day rahi hai .-YTN STAFF