Friday, May 10, 2024
HomeExclusiveKiya Hyderabadi police apne daawey ko sach saabit kar payegi?

Kiya Hyderabadi police apne daawey ko sach saabit kar payegi?

Hyderabad : Hyderabad ismat raizi ke mulzimin ko encounter mein halaak kiye jaane aur is karwai mein police ke kirdaar par uthnay walay sawalaat aur unke jawabaat ke husool ke liye ab ye maamla adalat mein jachuka hai aur Hindustan ki nazrain is zawaya par munjamad hochuki hain ke Kiya Hyderabad police ye saabit karne ke liye tayyar hai ke unhon ney khud ko difaa mein disha ke beheemana ismat raizi aur qatal muqadmay ke 4 mulzimoun ko qatal Kiya hai? Kiya koi police mulzim police ke khilaaf qatal ka muqadma darj karegi? sirf is soorat mein jab Encounter ko qatal karne ke liye zurori saabit Kiya gaya ho to aisay mein mulzim police ke khilaaf police ki janib se muqadma darj hona mahaal hai. is mein mulawis police ohdedaron ko mulzim nahi samgha jana chahiye agar unhon ney apne difaa mein yeh encounter Kiya hai agar aisa nahi hai to phir muqadma darj karkay tafteesh honi chahiye.

Agar hyderabad police ka ye daawa be-bunyaad bayanaat par mabni hai to hamaray qaumi maqsad ki sachaai satyamev yayate par yaqeen karna mushkil hai.

6 decemeber jo kay maha parezwan diwas yani Ambedkar ki barsi ka din hai is din Telangana police ney qaumi satah par surkhiyan mein jagah banai, jis mein ek veterinary dr Disha ke ijtimai ismat darri ke 4 mulzimoun ki sansani khaiz halakat hui. cyberabad ke police commissionaire VC Sajjanar ney media ko bataya ke wo ibtidayi auqaat mein crime scene ki taamer no ke liye crime ki jagah par pohanche, jahan mulzimaan ney achanak asleha chean liya, firing shuru kardi aur phir police ney jawabi fayrng ki jiske nateejay mein 4 mulzimaan mauqa par hi halaak hogaye.

Sajjanar ko 2 encounter ki shohrat haasil hai. august 2016 mein unhon ney ek ground team ki qayadat ki- jis ney Hyderabad ke qareeb sabiq nexalites Mohammad Nayeem uddin ko goli maar kar halaak kardiya. police ney wazahat ki ke jab unhon ney giraftari ki koshish ki to is ney hamla Kiya aur AK47 ko jeep ke andar se police team par fire karne ke liye istemaal kiya. Nayeem ko baad mein ek mafia king pain ki haesiyat se pesh Kiya gaya ke wo mukhtalif mehakmoun ke hukkaam aur siyastdanoun ke sath rawabit rakhta hai. hosakta hai ke Nayeem ki zinda rehne se ghotaloun ke haeran kin inkishafaat ho jatay they lekin Nayeem ki mout ney tamam imkanaat ko khatam kardiya hai.

Is se qabal 2008 mein Warangal shehar mein no umar ladkiyon par ek khofnaak tezaab hamla hua tha. teeno noujawan mulzimaan isi tarhan ke encounter mein maaray gaye. jiske baad police ka khaer maqdam karne phooloun ke sath log qataar mein khadey hogaye they. yeh na-qabil-yaqeen hai ke 10 ya is se ziyada musallah police ohdedar zair-e-hirasat 4 mulzimaan se apne hathyaar mehfooz nahi kar sakay they aur inhen aisi sorat-e-haal mein dhakel diya gaya tha ke woh zindah rehne ke liye unhein maar dalain. maazi ke tajurbay se sabaq sikhte hue police disha waqea ke mulzimoun ko hathkari laga sakti thi. zehan mein ek aam sawal hai Kiya police ke paas hathkariyan nahi theen? ‘

Fast track adalat, taiz raftaar phansi
logoun ke zabardast muzahiroun aur logoun ke gham wo ghusse ke jawab mein, chief minister Telangana KCR ne ismat raizi aur qatal ke is muqadmay ki samaat ke liye fast track court ke bananay ka hukum diya, jisko high court ki intizami manzoori mil gayi. chunkay police ohdedaroun ne taiz tareen insaaf pesh kiya jiski wajah se fast track adalat ka maqsad be-bunyaad hogaya. police ne hukoomat aur adliya ko be-waqoof banaya hai. Police ohdedar tafteesh karne wala idaara hai, kiya wo wakeel hain, aazmaishi judge, jailer aur phansi par latkanay walay jallad hai! bandooq ki golion se police ohdedaron ne aaeni hukoomat, qanoon, adalatein, tehqiqaat aur jailoun ko be-matlab aur ghair mutaliqa bana diya hai. kiya hamein judges ki aur jails ki zaroorat hai? cheif justice of India Bobde ne theek kaha insaaf badla lainay par kirdaar se mehroom hojata hai. kiya junooni is haqeeqat ko samjhta hai?

Hyderabad Encounter case

Ismat raizi ke 2 waqeat ke 2 rukh

Telangana mein disha muqadma ke mulzimaan Encounter kehlayi janay wali karwai mein maaray gaye ,. iske baraks, Unnao mein Ismat darri ka shikaar ladki ko churee mardi gayi, usay uttar pradesh mein zamanat par riha aur usay adalat jatay hue jalaya gaya. wo 1 Kilometer ki doori tak aag mein jalti rahi, is ladki ne khud police ko bulaya tha. Delhi ke ek dawakhana muntaqil honay ke baad iski mout hogayi. agarchay dono hi mamlaat mein ismat raizi karne walon ko giraftar kiya gaya tha lekin Telangana mein mulzimon ko goli maro insaaf ka saamna karna padha aur UP  mein inhen zamanat ya shayad hukkaam ke taawun se chodha gaya. agar Disha ismat raizi ke mulzim ghareeb un padh lorry cleaner hain to Unnao mujrim maldaar aur mutasir kan fad ke bhai hain. 5 aur 6 decemeber 2019 ke 48 ghanton ke waqfay mein honay walay yeh 2 waqeat is baat ki akkaasi karte hain ke muashi haesiyat aur siyasi rawabit hindustan mein insaaf par asr andaaz hotay hain. dono waqeat se pata chalta hai ke kis tarhan qanoon toota hai aur mutasireen ko unki qismat ya bad-unwan nizaam par chodh diya gaya hai. FIR mein Unnao mutasireen ke sath baar baar dhoka dahi aur Ismat raizi ka inkishaaf hua hai. Ismat raizi karne wala shivam trivedi ne usay jinsi zayad-ti ka jhoota pyar aur shadi ke waday ka lalach day kar usay kuch din jinsi ghulam rakha. ghar se bahar dekhnay par is ki pataayi aur zyad-ti ki gayi. agar police mein shikayat ki gayi to dobarah ismat raizi ki dhamki di gayi lekin is ne FIR darj karne ki himmat ki. 19 January 2018 ko is ne shivam ka muqaabla kiya aur poocha ke wo waday ke mutabiq isse shadi kyun nahi karega.

Shivam usay rai bareli ki adalat mein legaya aur shadi ka moahida tayyar kiya aur ye moahida bhi sirf dhoka dahi ke liye tayyar kiya gaya tha. is baar usay walidain ke qatal ki dhamki di gayi thi, is ne apni khaala ki panah li thi. mulzim ne usay phir dhoond liya aur woh 12 decemeber 2018 ko wahan pohancha, is baar ek mandir ke samnay wada kiya aur phir dhoka dahi ka wohi kheil dohraya gaya. FIR ke mutabiq mulzim ne –apne bhai shubham ko rastay mein bulaya. is bar bandoq ki noke par is ke dost ke ghar mein ijtimai zayad-ti ki gayi. doosri janib disha ki dukh bhari daastaa’n sab ke samnay hai lekin dono hi mamlaat mein ek mushtarqa haqiqit ye hai ke dono hi maamloun mein police ne ibtidayi tor par muqadma darj karne se inkaar kardiya.

Adalat ki mudakhlat ke baad hi Unnao mein FIR darj ki gayi. Telangana mein jab FIR darj hui is waqt tak mutasirah Dr halaak hogayi. khawateen ke qaumi commission ne kaha ke Telanana police ne ye kehte hue Dr ke walidain ki tazleel ki hai. jab unki ladki ki ghumshudgi aur iske baarey mein police se sawal kiya to police ne is waqt munasib jawab nahi diya jab woh usay talaash kar rahay they. jab ek wazeer unke ghar gaya to waalid ne kaha police ne munasib jawab nahi diya aur na hi behtar taawun kiya jiske baad mujhe hi khud mauqa waardaat par jaakar apni beti ki talaash karni padi ke wo zindah hai ya nahi. is ke alawa disha ke walida ne ilzaam lagaya ke police inhen daira ikhtiyar ka hawala dekkar be-yaroo madgar kardiya. is saaray waqea mein police ne mutadid juraim, muqadmay ke indraaj, faraiz mein ghaflat, ghair amli aur aakhir-kaar encounter ke naam par ismat raizi / qatiloun ke qatal ka irtikaab kiya hai. agar encounter jaali saabit hua to police ka yeh khofnaak qatal hoga.

Hyderabad Encounter case

Social Media par police ki sataish
Social Media ke sarfeen ne police ki is karwai ko hazaroun pasand aur jazbati nishanaat aur tabsaroun ke sath fouri insaaf se tabeer kar rahay aur iska khaermaqdam kar rahay hain. Twitter sarfeen hindustani nizaam insaaf ke hero ki haesiyat se Telangana ke hukmraanoun aur police ki tareef kar rahay hain aur mutalba kar rahay hain ke Telangana police ki pairwi deegar reyaston aur qoum ko bhi karni chahiye. hamaray nizaam mein sazae mout jald nahi di jati hai, isi liye disha ya Nirbhaya muqadmaat mein mulzim jaisay mujrimoun ka khatema qanooni tor par mumkin hai. jamhoriat mein, log hi asal judge hotay hain. lekin iska matlab ye nahi hai ke police ki golion ke zareya phansiyoun ka irtikaab is tarhan ki iski manzoori ya hujumi tashadud se hosakta hai. agar har tarhan se hujhoom itna jald insaaf chahta hai to aaj hazaron afraad ke ismat darri ke muqadmoun ka kiya hona chahiye?

National crime record bureau ( NCRB ) ki national crime report ne kaha hai ke 2017 mein ismat raizi ke 46,984 muqadmaat mein se sirf 5855 muqadmaat mein hi mulzimon ko mujrim qarar diya gaya tha. iska matlab hai ke 86.6 feesad ismat raizi ke ilzamaat saabit nahi hosakay. saza ki sharah mehez 32.2 feesad hai. NCRB ke mutabiq 2017 ke aakhir tak mulk mein tafteesh ke liye 14406 ismat raizi ke muqadmaat zair-e-iltiwa hain. jabkay 1012 daaway na kafi shawahid ki wajah se kharij kardiye gaye, 30 muqadmaat ki tafteesh ke douran inkaar kardiya gaya. hindustan mein aam saza ki sharah qareeb 45 feesad hai. China mein 99.9 feesad, Japan aur canada mein 97 feesad, jabkay America mein 93 feesad ke qareeb record ki gayi hai. ismat raizi ke 2 tahai waqeat mein, istighasa kamyaab nahi hua. ye kehna mushkil hai ke saza Yafta tamam haqeeqi mulzim hain aur bari honay walay sab be-gunah hain.

Ismat darri ke mamlaat mein bohat se jhutay ilzamaat hain. agar encounter insaaf ka rasta hai to har shehar mein police commissionaire ko chief metropolitan judge ki izafi duties di jayen, woh TV aur social media ke zareya pesh kardah saboton ki towseeq karen aur ek musallah police ohdedar ko hidaayat den ke woh mulzimaan ko qatal karen. police ne hirasat mein rakhay afraad ka encounter karne mein apni bahaduri aur mahaarat ka muzahira kiya, is tarhan mohazab duniya ki ek nai tasweer paish hui hai jahan sirf hero maar peet aur qatal ke zariye mukammal lekin paicheeda insaaf karega aur tamam noujawan aur boodhay, mazboot ya kamzor hero sab hi is karwai ki tareef karte hain.

Ambedkar taqreeban 70 saal qabal aeen saazi ke un ibtidayi dinon mein shayad ye nahi samajh sakay they ke cyberabad police ki team ke zareya ek taiz insaaf mumkin hai. basorat deegar woh usay dastoor-e-hind mein ek shaaq ke tor par shaamil kar lete. Hyderabad police ko agar unko qanoon ki hukmarani ka ehtram hai to ye saabit karna hoga ke hirasat mein 4 mulzimaan ka qatal waqai haqeeqi encounter tha agar nahi to usay ek aam muqadmay mein hindustani tazirat-e-hind ki dafaa 302 ke tehat saza ka saamna karna chahiye. kiya woh is ke liye tayyar hain?    –YTN STAFF