Monday, April 21, 2025
HomeExclusivekiya haqeeqi mainou may Khawateen ko haasil ho rahe hai un ke...

kiya haqeeqi mainou may Khawateen ko haasil ho rahe hai un ke huqooq?

Hyderabad: *Haal he may duniya bhar may ‘ ‘ aalmi yaum-e- khawateen’ ‘ manaya gaya. Is din khawateen ke huqooq, un ke tahaffuz aur khawateen ke tain muashray may  phaile  ghalat sonch aur khawateen ke sath ho rahae naazeba harkato ki rok thaam se mutaliq ghhor o khoz kiya gaya. aur is din khawateen ke bunyadi huqooq aur un ki ahmiyat ko Ujaagar kiya gaya. aur duniya ke kayi shehro may khawateen ne –apne huqooq ke liye March bhi kya. mulke hindostan ke mukhtalif shehro may  ‘ aalmi yaum-e- khawateen’ ‘ bade  hi josh wo kharosh ke sath manaya gaya. mukhtalif mazahab se talluq rakhne  wali khawateen ne is aalmi din ko –apne –apne andaaz mein manaya. sath hi –apne khayalat ka izhaar kiya .

Darasall aalmi yaume khawateen unn khawateen ki yaad may manaya jata hai jinho ne muashre may phaile khawateen ke huqooq ki pamali aur un ke sath nazeba harkaat wo Adamm-e- tahaffuz ke khilaaf, aur mardon ke barabar huqooq ke liye jaddo jehed ki thi aur ghar may , samaaj may aur kaam ki jagaho par un ko barabar haq diye jaaney ki maang ki thi. aur woh un –apne huqooq pane may kaamiyaab hue the. jis ke baad duniya ke mukhtalif mumalik ne  khawateen ko un ke huqooq diye. aur un ke mutalibaat ko maana. is ke baad bain-ul-aqwami tanzeem aqwame mutahidda ne 8th March ko aalmi yaum-e- khawateen manane ka Aelaan kiya. unn khawateen ko yaad karne ke liye jinhoe ne –apne huqooq ke liye kayi tarha ki qurbaniya dee. poori duniya ki khawateen may is din kaafi josh wo kharosh dekha gaya. aur duniya ke mukhtalif mulko may is din ko poore ehtemaam ke sath manaya gaya .

” aalmi yaum-e- khawateen’ ‘ ke mauqe par german dar-ul-hukumat duniya ka woh pehla shehar ban gaya jis ne aalmi yaum-e- khawateen par aam tateel ka aelaan kiya. wazeh rahe ke khawateen ke huqooq ke hawale se Germany may jaddo jahed 100 saal purani hai. rawaan baras Germany mein khawateen ko vote ka haq milne ki 100 sala taqareeb bhi manayi gayi thi. 1910 may copenhagen may conference of socialist women ka ineqad amal may laaya gaya tha. jis may khawateen ke huqooq ki german leader Clara Zetkin ne pehli martaba aalmi satah par yaume  khawateen manane ka khayaal pesh kiya tha. is ke ek baras baad Austria , switzerland, Denmark aur Germany may 19 March 1911 ko pehli martaba’ ‘ yaume  khawateen’ ‘ manaya gaya, jis ke douran bade bade muzahire hue aur khawateen ke huqooq ke liye mutalibaat samne laaye gaye. isi tehreek ka dabaao tha jis ke tehat 1918 may Germany may khawateen ko vote ka haq diya gaya .

” aalmi yaum-e- khawateen’ ‘ ke mauqe par roose may traffic poles walo ne dilchasp iqdaam karte hue khatoon drivers ko kharaj tehseen pesh kiya. is anokhi rasam ko’ ‘ flower patrol’ ‘ ka naam diya gaya. traffic poles ke is iqdaam se khatoon drivers ko na sirf hairani hui balke unho ne nihayat musarrat ka bhi izhaar kiya .

” Bangladesh ke dhaka may khawateen ne’ ‘ aalmi yaum-e- khawateen’ ‘ ke mauqa par rally nikaali aur samaji zindagi ko behtar banane  par zor diya .

‘aalmi yaum-e- khawateen’ ‘ ke mauqe per hindustani wazeer-e- aazam Narendra modi ne tweet karte hue kaha ke un ki hukumat ne khawateen ko mazeed ba ikhtiyar banane ke liye kayi faisle kiye hain. jis par inhe fakhr hai .

Isi tarha deegar kayi shakhsiyation ne khawateen se mutaliq –apne khayalat ka izhaar kiya. aur unn ke sath acha rawaiyya ikhtiyar karne, aur unhe  muashre may barabari ka darja dene ki baat kahi .

kya haqeeqi mainou may khawateen ko unke huqooq mil rahe hai ? kya un ke sath mutassbana rawaiyya ikhtiyar kiya jana band ho gaya hai. .? aur kya khawateen ke sath chedKhani wo nazebah harkaat band ho gaye hai. ..? kya khawateen ki ismatein mehfooz hain. ..? kya rozgaar pesha khawateen ko unkay kaam ke barabar muaweza diya ja raha hai. .. .? awam un naas ka khayaal hai. . nahi.! .
balke unn ka maanna hai ke aaj khawateen ke sath pehle se ziyada zulm wo ziyadti kee ja rahi hai. aur unko ko mardo ke mukhalif kam tar samajh kar unn ki haq talfi ki ja rahi hai. dafatir may , muhalla-jaat may , aam raastoon par, baazaaro, wo deegar maqamat par kahi  bhi khawateen mehfooz nahi hai. aise kayi waqiyat runuma ho chuke hai. jis se insaaniyat sharmsaar hui hai. awam ka yeh bhi maanna hai ke hukumatein khawateen ko mardon ke masawi haqooq dene , ki baten aur unke tahaffuz ke daawe karti hai, magar sachai is ke Bar khilaaf hai. aaye din khawateen ke sath pesh aane wale  waqiat unn ke davon ki qalayi kholti hai. hona to yeh chahiye ke khawateen se hamdardi rakhne ka dhong karne ke bajaye unn ki falaaa wo behbood, unke tahaffuz, un ke mutalibaat ka khayaal kiya jaye. aur unhe poora kiya jaye. sirf ek din khawateen ki tareef, unn se hamdardi karne se unn ki hosla afzai ya pazeerai nahi hoti. balke un ka dil se ehteram wo izzat ki jani chahiye. tabhi unn khawateen ke sath insaaf hoga. aur sahi  mainou may unn ke khidmaat, eesaar wo qurbani ka aiteraaf hoga. In baaton par jo zimme daraan hai unn ko fauri qadam uthana chahiye .
* * *