New Delhi : Punjab ke wazeer-e-aala amarinder singh nay hafta ko Navjot singh Sidhu ka istifa qubool kar liya. istifa qubool kiye jaanay ke baad Congress mein Sidhu ke mustaqbil ko le kar sawal khaday ho gaye hain. aur Sidhu ka agla qadam Kiya hoga is par baat ki ja rahi hai.
14th July ko Twitter par apna istifa aam karne ke baad, aglay hi din unhoun nay kabeena se apna istifa wazeer-e-aala Amarinder singh ko bhej diya tha. jisay hafta ko Amarinder singh nay qubool kar liya hai.
Punjab congress ke leadroun nay Navjot singh sidhu ke kabeena choadnay ke faisla ko ”Bhul“ bataya hai. lekin unhoun nay umeed bhi jitayee hai ke Sidhu congress mein banay rahenge.
Doosri taraf BJP nay kaha ke Navjot singh sidhu ka istifa qubool Kiya jana unke siyasi career ka ekhtataam hai. Bhartiya janata party ke qaumi secretary Tarun chog naay kaha ke sidhu ka Punjab ki siyasat mein ab koi mustaqbil nahi hai. unka siyasi kirir khatam ho gaya hai .
Tarun chog nay congress leader sidhu par tanqeed karte hue kaha ke ”Sidhu nay pehlay BJP ko dhoka diya tha aur ab unhoun nay kaam nah kar ke congress ko dhoka diya hai.
Punjab ke BJP leader S Malik nay bhi sidhu par tanqeed karte hue inhen ”Matlabi Insan bataya, jo apne baarey mein Sonchta hai. aisay mein yeh andaishay zahir kiye jarahay hain ke Kiya sidhu congress chodh sakte hain? –YTN STAFF