Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaKiya Babri Masjid shaheed karne waloun ko saza mileygi : Digvijaya Singh

Kiya Babri Masjid shaheed karne waloun ko saza mileygi : Digvijaya Singh

New Dehli: Ayodhya muamlay ki 70 saal ki taweel qanoouni jung par Supreme Court ne hafta ko faisla suna diya. adalat ne mutanazia zameen ko Ram Lalla Barajman ko di hai. wahein Musalmanoun ko Masjid banane  ke liye Ayodhya mein hi 5 Acres mutabadil zameen dene ka hukum diya hai. adalat ne mandir ki taamer ke liye markazi hukoomat ko ek trust ki tashkeel karne ke liye kaha hai. ye faisla zameen ke malikana haq ko lekar tha, adalat ke is faislay ka mutanazia dhanchay ko giraye jane  walay muamlay se koi lena dena nahi hai.

Adalat ne kaha ke mutanazia dhanchay ko munhadim karna ghair qanooni hai. is par Congress ke senior leader aur Rajya sabha rukan-e-parliment Digvijay Singh ne 2 Tweet kiye hain. jis mein unhoun ne pucha hai ke dhancha girane  ke qusurwaroun ko kiya saza mileygi. Digvijay Singh ne Likha Kai Supreme Court ne Ram Janam Bhoomi faislay mein Babri Masjid ko todne  ke amal ko ghair qanooni jurm mana hai. kiya qusorwaron ko saza mil payegi? Congress leader ne kaha ke kisi ke mafaad mein nahi hai masmaar karne aur tashadud ka rasta.

Unhoun ne likha ke Ram Janam Bhomi ke faislay ka sabhi ne ehtaram kiya hum shukar guzaar hain. Congress ne hamesha se yahi kaha tha ke har tanaza ka hal aeen-dastoor ke zariye banai gaye qanoon aur qawaid-wo-zawabit ke dairay mein hi talaash karna chahiye. masmaar karne aur tashadud ka rasta kisi ke mafaad mein nahi hai.

Supreme Court ki bench ney kaha ke masjid mein moorti rakhna aur dhancha girana ghair qanooni tha. bench ney kaha sabutoun ke mutabiq masjid mein muslim namaz padhte the. 22-23 decemeber 1949 ko gumbadh ke neechay moorti rakhi gayi. ye napak kaam tha. 1992 mein dhancha girana qanoon ki khilaaf warzi tha. hum Aeen-Dastoor ke article 142 ke tehat khusoosi ikhtiyarat ka istemaal karte hue jo ghalat hua, isko sudhaar kar saktay hain. masjid ke liye zameen dena zaruri hai, kyunkay musalmanoun ko ghalat tareeqay se be-dakhal kiya tha. ya to markazi hukoomat ya phir riyasati hukoomat Ayodhya mein waqf board ko masjid ke liye alag se zameen dein. –YTN STAFF