Saturday, May 4, 2024
HomeHyderabadkiya aap ne kabhi socha hai ke aap kitnay sahet mand aur...

kiya aap ne kabhi socha hai ke aap kitnay sahet mand aur tandrost hain

Hyderabad: Tandrusti hazaar Nemat hai is haqeeqat se kisi ko inkaar nahi lekin 80 feesad nojawan sahet mand rehne ke liye rozaanah ki halki phulki werzish bhi nahi karte aur ye inkishaaf aalmi idaray sahet ( WHO) ki taaza report mein kiya gaya hai. Is report mein kaha gaya hai ke  duniya bhar mein 11 taa 17 saal ki omar ke har 5 mein se 4 bachay sahet mand zindagi ke liye darkaar werzish nahi rahay hain. Apni noiyat ke aisay pehlay jaizay mein kaha gaya hai ke is se bachoun ki zehni nashonuma aur masharti salahiyaten mutasir ho rahi hain.

Report mein kaha gaya hai ke mujawaza ek ghantay ki werzish na karne ka masla ghareeb aur Ameer dono mumalik mein mojood hai. Tahaqeeq ke douran 146 mumalik ke bachoun aur nojwanoun ke mutaliq maloomat akatha ki gayi hain aur un mein se 142 mumalik mein ladke ladkiyoun ke muqablay mein ziyada werzish karte hain.

Is jaizay ke liye har is kaam ko werzish ke tor par dekha jata hai jis se aap ke dil ki dharkan ki raftaar taiz ho aur aap ke pehphdoun ko zor se saans lena pade. Is mein dodna, Cycling, Teraaki, Football aur degar kheloun ke ilawa tamam aisi masrofiyat shaamil hain. Ek din ke liye darmiyani se shadeed werzish ka nishanah 60 minute ka hai. WHO ke Doctor ne kaha hai ke mere khayaal mein ye koi bohat mushkil kaam nahi hai. Ye tahaqeeq par mabni hai ke achi sahet aur nashonuma ke liye kiya darkaar hai.

Kya aaj ke nojawan sust hogaye hain ?
Agar aap ke ghar mein koi fard hamesha apne kamray mein computer screen ke samnay betha rehtahe aur khanay ke waqt bhi wo apne kamray mein hi khezaye nosh karta hai to ye herat ki baat nahi kyunkay report mein ye haqeeqat samnay aayi hai ke ye ghar ghar ki kahani hai aur aisay nojawan jo rozaanh ki masrofiyat mein koi werzish nahi karte wo anay walay dinoun mein bimarioun ko dawat day rahay hain. Roghan khezaye, Computer aur mobile screen par dostoun ke sath Pubg mein ghark, Davtoun mein raat degaye khaano ka shoq, Phir dosray din dopehar tak bistar mein meethi neend poori karna ye muslim nojawanoun ka mizaaj ban chuka hai jo kay sahet ke maahir trainers aur doctoron ki nazar mein sahet ki nemat ko apne hathoun se tabah karna hai.

Mahireen ki Raye
Aalmi report ke inkishafaat ko agar hum apne shehar aur ghar ke tanazur mein dekhen to andaza hojata hai ke chand dahe qabal dono shehroun mein sahet ke marakaz jo aam feham alfaaz mein ” Gym “ Kehlaye jaanay lagey hain bohat hi kam huva karte they aur un ki mojoodgi ko unglio par gina ja sakta tha lekin aaj taqreeban har muhallay mein ek se ziyada Gym mojood hain jahan maahir trainers ki khidmaat dastyab hain.

World Health Organisation

Fitness Trainers Ahmed Hussain ke tajarbaat
Transform Fitness Gym Secunderabad ke trainer Ahmed Hussain ka shumaar shehar Hyderabad ke maroof fitness trainerz mein hota hai jin ki sarparasti mein aam nojawanoun ke ilawa Telugu film Industry ki mashhoor shaksiaat warshish karte hain. Unhoun ne kaha ke Hyderabad ki awam mein sehat ko barqarar rakhnay aur fitness ko bananay ke ruhjanaat guzashta 5 barsoun mein kaafi parwan chadha hain neez bollywood star Salman Khan ne muslim nojawanoun mein Body building ke mizaaj ko kaafi farogh diya hai ye hi wajah hai ke sehat ki ahmiyat se ziyada nojawan apne mann pasand film star ke andaaz ko ekhtyar karne par tavajja markooz karte hain jis ka zeli faida ye huva ke unki khwahish ne kahin na kahin unki sehat ko bhi faida pohanchaya hai.

Physio Mohammad Asgharuddin ka tajzia
Hindustani cricket team ke captain Verat Kohli, wicket keeper Dinesh kartik ki biwi Dipika Pallikal Karthik aur tennis ke super star Roger Federer ko kheloun ki duniya mein sab se fit aur tandrost khiladi maana jata hai aur hindustan ke hazaroun mehloon mein lakhoon aisay khiladi hain jo kay apni fitness aur jismani qowat ko kamaal ke darjay tak pohanchanay mein Physio ke mashwaroun ke ahsaan mand hotay hain. Physio ki jamaat mein shaamil Mohammad Asgharuddin shehar Hyderabad ka mashhoor-o-maroof naam hai jin ki sarparasti mein kayi khiladi aur aam shehri apne fitness aur sehat ke miyaar ko buland kar chukay hain. Unhoun ne hamaray nojawanoun ke zimn mein kaha ke nojawan short kat ikhtiyar karte hue jald ek behtareen jism bananay ke khwaahan hotay hain jis se inhen faida ki bajaye nuqsaan ziyada hota hai. Physio Asghar ne kaha har fard ka jism allag hota hai aur is ki zaroriat bhi allag hoti hain lehaza trainer ke mashwaray ke baghir kam karna faida ki bajaye nuqsaan ka sauda hota hai.

World Health Organisation

Unhoun ne mazeed kaha ke raat ko bhar poor neend ka poora karna sahet ke liye bunyadi juz hai jis ke baad subah nashtay se leker raat ke khanay tak istemaal ki jaaney wali khezao par tavajja dena intahi zurori hai kyunkay zabaan ke mazay ke bar aks apne jism aur tawanai ke taqazoon ko poora karna achi sahet ke husool ka bunyadi usool hai. Khezao mein Protein, vitamins, Potassium, Charbi aur Chiknai ki mojoodgi haqeeqat hai lekin kis jism ko kitney vitamins, kitney potassium aur kitni chiknai ki zaroorat hoti hai ye takazey allag allag hotay hain lehaza sab se pehlay apni sahet ka tajzia karne ke baad taghzia aur werzish ka amal shuru kiya jaye to misbet nataij haasil hotay hain is ke bar aks seedha Gym ya maidan ka rukh karte hue paseena bahana matlooba maqasid ke husool ke liye faida mand nahi hai.

Duniya mein kayi mohlik, mozi aur mastaqel bimarioun ne aaj insani jismoun ko ghair liya aur melavati khezaye ne faiday ke bajaye sahet ko nuqsaan pohanchanay mein koi kasar nahi choadi hai lehaza aaj ke daur mein rozaanh ki werzish bachoun, Jawanu aur maamar afraad har kisi ke liye zurori hai lekin mahireen ki sarparasti aur unkay mashwaray sahet mand zindagi ke liye na guzeer hain. –YTN STAFF