Sunday, September 15, 2024
HomeLatest NewsKiya aap ke Online lain deen Cyber hamloun se mehfooz hain

Kiya aap ke Online lain deen Cyber hamloun se mehfooz hain

Hyderabad: Hindustan may aeye din Cyber hamlay hotay hain kabhi BJP ka sarkari Website hack karliya jata hai to kabhi kisi sarkari Website par fehash mawaad shaya kardiya jata hai jabkay guzashta mah Hindustan ki janoobi riyasat Tamil Nadu may mulk ke sab se baday johri Plant Kundakulam may honay walay Cyber hamlay sheh surkhyoun may rahay. is khabar ke manzar aam par anay ke baad ye behas zor pakadney lagi ke kiya Hindustan kisi bhi Cyber hamlay se nimatnay ke liye poori terhan tayyar hai aur kiya woh apne ahem Infrastructure ko nuqsaan da Digital hamloun se bacha sakta hai? is behas ne ek aur baday maslay ko huwa di hai ke aaya Hindustan Debit Card hacker aur deegar maali dhoka dahi se bachney ke liye tayyar hai kyun ke ye Hindustan ke karodoun shehri is terhan ke hamloun ki nah sirf zad may asaktay hain balkay inhen lakhoun aur Carode rupay se haath bhi dhona parsakta hai. guzashta mah Rserve Bank of India ne banks ke liye ek intibah jari kiya tha.

Ye intibah Singapore may qaim Cyber Security Company Group ke ek intibah ke baad samnay aaya hai, jis may kaha gaya hai ke takreeban 12 Lakh Debit Cards ki tafseelaat Online dastyab hain. guzashta saal Hackers ne pauney ke Cosmos Bank Accounts se 90 Crore Rupay dhokay se nikaal liye they aur unhoun ne ye kaam Bank ke Data faraham karne waloun par Cyber hamlay ke zariye anjaam diya tha. Cyber Institute of the Abserve research Foundation ke sarbarah Arun Sai Kumar ke banujab Hindustan ke maliyati nizaam par hamla karna aasaan hai kyu kay hum ab bhi lain deen ke liye software jaisay bain-ul-aqwami Banker Network par inhisaar karte hain. Bain-ul-aqwami Gate ways ki wajah se hamla karna aasaan hai.

Cyber Security Company Simen Tech ki ek Report may kaha gaya hai ke Cyber hamloun ke 3 ahem ahdaaf may se Hindustan 1 hai. taham kaha jata hai ke Hindustan ki badi Digital abadi ki wajah se is may kami waqay hogi. har mah France jitni abadi Hindustan may Computer se munsalik ho rahi hai aur yahi sab se badi tashweesh hai kyun kay pehli martaba Internet istemaal karne waloun ko bhi Digital adayigyoun ke liye kaha ja raha hai. misaal ke tor par November 2016 may Hindustan ki hukoomat ne achanak 500 Rupay aur 1000 Rupay ke notes par pabandi aed kar di jo mulk may kul raqam ka 80 feesad tha. mutabadil ke tor par wazeer-e-azam Narendra Modi ne Digital adaigi ko kaafi had tak farogh diya. ab khuwa wo Hindustani adaigi ka plateform paytm ho ya bain-al-aqwami plateform Google , dono ka kaarobar Hindustan may kaafi badh gaya hai.

Credit Swis ki ek Report ke mutabiq 2023 tak Hindustan may Mobile se adaigi ek kharab Dollar tak honay lagey gi. credit aur Debit Cards ka istemaal bhi bohat maqbool hai. filhaal Hindustan may takreeban 90 Crore Card istemaal ho rahay hain. Technology ke maahir Parshanatan Ray ne kaha Hindustan may Internet ka istemaal bohat se naye log kar rahay hain. unki abadi 30 Crore se ziyada hai. wo Mutwast ya nichale tabqay ke log hain jin ki Digital samajh bohat kam hai. un may mukhtalif reyastoun may rozana mazdoori karne walay mazdoor hain jo is ki zabaan nahi samajte. unke sath dhoka dahi ka bohat imkaan hai. is ke ilawa Prashanth Ray ne ek aur maslay ki taraf bhi ishara kiya doosri baat ye hai ke Banks ki dhoka dahi ke baarey may bohat kam ittila di jarahi hai, kayi baar sarifeen nahi jantay ke kiya huwa Hindustan may maali dhoka dahi kayi terhan se hoti hai. kuch hakers ATM machinoun may Cameras ya  Board Camera laga dete hain. is ke zariye baghair kisi shay ke aap ke Card ki naqal tayyar ho jati hai. jabkay baaz Hackers aap ko call karte hain aur aap se dhokay se maloomat haasil karne ki koshish karte hain.

Prashanth Ray ne wazahat karte hue kaha Hindustan may Digital lain deen ka amal dhundlaa aur uljha huwa hai. asal duniya may ye maloom hota hai ke kon paisa le raha hai aur kon ada kar raha hai lekin Mobile ki adaigi ke plateform may yeh hamesha wazeh nahi hota hai. misaal ke tor par koi shakhs Online maiz farokht kar raha hai aur koi khredar Banker Online adaigi karne ki baat karta hai. is ke baad woh kehta hai is ny adaigi kar di hai aur aap ko Text Pegham ke zareya ek Code mileyga. ye adaigi ko yakeeni bananay ke liye hoga. ziyada tar sarfeen is ke baare may nahi sochte hain aur wo is shakhs ko is Code ke baare may bata dete hain. phir unhein pata chalta hai ke unke hi Account se pesey nikale gaye. masla ye hai ke ye nizaam na to –pne aap may mehfooz hai aur nah hi shafaaf. Cosmo Bank ke sath honay wali dhoka dahi may ye baat samnay aayi thi ke itnay baday lain deen ke douran software be zabtgiyon ko nahi pakar saka. jab tak dhoka dahi ka pata chalta is waqt tak bohat bara nuqsaan ho chuka tha.

Kisi miyaar ki Adam mojoodgi may Online par pehli baar lain deen karne walay sarfeen ko bohat pareshani ka saamna ho sakta hai. misaal ke tor par ATM machinon ko dekhen bohat saari kismain hain aur har adaigi app ka Enterface mukhtalif hai. is may ek insani masla bhi hai. un may umomi aag hi ka fuqdaan hai jis ki wajah se woh  apne aap ko aur poooray nizaam ko khatray may daal dete hain. KayBoard istemaal karne walon ko bhi mohtaat rehne ki zaroorat hai. KUndakulam Nuclear Planet may jis Virus ka hamla huwa wo wahan ek mulazim ki wajah se hi pouncha jis ne System ke Computer ko Virus zada USB laga di. yahi kisi Bank ya maali idaray may bhi mumkin hai. Prashanth Ray ke mutabiq maali lain deen ki hifazat ki zimma daari sarfeen par nahi balkay hukoomat aur maliyati idaron par aed hoti hai.

Hindustan may jis raftaar se Internet ke istemaal may izafah ho raha hai is ke pesh-e-nazar usay sirf maloomat ke bharoosay nahi choda ja sakta. hackers par nazar rakhna har shakhs ke liye mumkin nahi hai kyun kay wo musalsal apni hikmat-e-amli aur tareeqay badalte rehtay hain. aisi sorat-e-haal may Regulaters par zimma daari aed hoti hai ke wo kisi bhi dhoka dahi ko rokain. is ke ilawa mukhtalif Cyber Security idaroun ke mabain bahami raabtey ki raftaar bhi bohat sust hai. Computer Emergency Respons Team ( CSRT) jo Hindustan ke Digital Infrastracture ki hifazat karti hai wo baarha bar waqat maloomat faraham karne se qassar rehti hai. lekin hukoomat ko is maslay ka andaza hai. yahi wajah hai ke mulk 2020 ke liye qaumi Cyber Security Policy tayar kar raha hai. is may 6 ahem shobo ki nishandahi ki gayi hai jin may wazeh Policy ki zaroorat mehsoos ki jarahi hai. un may Finans Security bhi shaamil hai. mulk ke andar har ahem shobay ki apni ek Computer Emergency Respons Team ( CSRT ) honi chahiye jin ke darmain bahami raabtey honay chahiye aur hukoomat ko Convenor ka kirdaar ada karna chahiye. is soorat may Hindustan ki baghair naqdi ki maeeshat ke khatraat ko mo-asar tor par nimta ja sakay ga. –YTN STAFF