Saturday, May 18, 2024
HomeHyderabadKiya aap ke Namak mein zeher hai?

Kiya aap ke Namak mein zeher hai?

Hyderabad: Colgate ka aik ishtihar kaafi mashhoor huwa jis mein 1 shakhs jab apne danoton mein takleef ki shikayat karta hai to achanak aik khatoon jo ke Bollywood ki mashhoor adkarah aur Miss Universe Lara Dutta namodaar hoti hain aur woh is shakhs se sawal karti hain ke kya aap ke Toothpaste mein namak hai? lekin ab namak ke mutaliq taaza tareen tahaqeeq ke baad is jumlay ko badal kar kehnay par majaboor hona pad raha hai ke kiya aap ke namak mein zeher hai?

Namak kisi bhi ghizai ashiya ka aik ahem aur zurori juz hota hai kyun kay Hyderabad mein kayi aisi gizayeen hain jin mein namak ke baghair un ka tasawwur bhi mahaal hai lekin Namak khanay walon ke liye ab aik buri khabar hai kyun kay America ki aik Laboratory ney taaza tareen tahaqeeq mein wazeh kar diya hai ke Hindustan mein istemaal honay walay kayi Branded Namak zahreeley ashiya ka murakkab hain.

Good hum green and Farm Products ke Chairman Shiv Shankar Gupta ke mutabiq America ki Laboratory West Analytical ki janib se taaza tareen tahaqeeq mein wazeh kiya gaya hai ke Hindustan mein istemaal honay walay ziyada tar Branded Namak mein kayi aik aisay ajza paye jatay hain jin ki mojoodgi insani sahet ke liye tashweesh naak had tak muzir hai. Hindustan ke kayi aik Maroof tareen Namak jin mein jo keemiyai ajzaa mojood hain un mein khaas kar Potassium firo sainged ki tashweesh naak had tak ki mojoodgi ney mohqiqeen ko pareshan kar diya hai.

Hindustan ke jin Maroof tareen namak ka tajziyati mutalea karte huwe un ke adad o shumaar aur ajza haasil kiye gaye hain woh insani sahet ke aitbaar se kaafi tashweesh naak hain. Tafseelaat ke bamoujib Samaar Refined Salt ke aik kilo namak mein potassium firo signeded ki miqdaar 4.71 mili gram hai. Tata Salt namak mein is keemiyai shaye potassium firo signeded ki miqdaar 1.58 mili gram hai is ke ilawa Tata Salt Light mein potassium firoon signeded ki miqdaar fi kilo 1.90 mili gram hai. Gupta ney mazeed kaha hai ke namak mein jo keemiyai ashiya istemaal ki ja rahi hain jisay keemiyai istelaah mein potassium firo singed kaha jata hai yeh sahet ke liye intahi muzir keemiyai ajzaa hain.

Potassium firo singed insani sahet ke liye kis had taq nuqsaan da hai is ka ba aasani andaza lagaya ja sakta hai kyun kay yeh woh keemiyai shiye hai jo insani jism mein daakhil honay ke baad sab se pehlay hazme ke nizaam ko mutasir karti hai aur aaj dekha ja raha hai ke shehar mein kayi afraad hazme ki shikayat kar taay rehtay hain aur pait ki takleef ke wajah se dawakhoon mein mareezon ki aik kaseer tadaad har waqt mojood rehti hai alawa azeen yeh keemiyai ajzaa amal tanaffus ke nizaam ko bhi mutasir karte hain aisay namak ka istemaal jodon mein dard, azlaat mein jakran, pait ki takleef, matli aur kayee  jaisi shikayat ki wajah bantaa hai.

Yaad rahay ke Doctor pehlay hi behtar sahet ke liye shukar aur namak ka kam az kam istemaal karne ki hidaayat dete hain aur namak ka ziyada istemaal amraaz qalb ki wajah bhi bantaa hai lekin ab to nai tahaqeeq ney Hindustan mein istemaal honay walay Maroof namak par hi sawalia nishaan lagadiya hai. Maazi mein Mota Namak dakanaat se kilo ke hisaab se theli mein laya jata tha jis ke khalis honay par kisi ko koi shuba nahi hota tha lekin is ke baad IODS namak ke naam par awam ko bareek aur mehngay namak istemaal karne ki aadat daldi gayi hai lekin ab un namakoon ke khalis honay par sawalia nishaan lag chuka hai.