Monday, April 21, 2025
HomeIndiaKisi ko takleef pohanchate hue sadakh par namaz Padhna durust nahi :...

Kisi ko takleef pohanchate hue sadakh par namaz Padhna durust nahi : Maulana Khalid Rashid

Lucknow : All India muslim personal law board ( AIMPLB) ke rukan aur mashoor sunni aalim-e-deen Maulana khalid  ne kaha hai ke kisi ko takleef pohanchanay ke liye namaz nahi padni chahiye. sadakhoun par namaz ke tanaza par radd-e-amal zahir karte hue, unhon ne kaha ke ”Namaz Allah ke huzoor mein dua hai. kisi ko takleef pohanchate hue namaz Padhna durust nahi.

Unhoun ne kaha ke sadkoun par namaz Padhna koi roz ka mamool nahi hai. sirf jummay ko hi aisa hota hai. aur kaha ke ”kuch masjidoun mein logoun ko jagah nahi milti, to woh jummay ko sadakh par namaz ada karte hain. lekin agar kisi ko is par koyi aiteraaz hai, to logon ko chahyie ke waqt se pehlay masjid mein pounchanay ki koshish karen.

Moulana ne zabar dasti ”Jai shree ram” ke naaray laganay par majboor karne walay haal hi ke waqeat ka zikar karte hue kaha ke ”jahan tak hindu mazhab ka taluq hai, is mein is tarhan ke kaam ki koi gunjaish nahi hai. kyunkay raam ne kahin bhi nahi kaha hai ke unke pairo kaar zabardasti unke liye naaray lagwayin. raam ko ”maryada   ke naam se jana jata hai. koi bhi unke naam par ghair mehzabana sock kaisay kar sakta hai.

All India muslim personal law board ( AIMPLB ) ke general secretary, moulana Wali Rahmani ne kaha ke ”Shariyat ke mutabiq kisi khuli jagah par namaz Padhna ghalat nahi hai. unhon ne kaha ke ”musalmanoun ke khilaaf mann manay tareeqa se bad sulooki karne ki kuch zafrani logon ki aadat bangayi hai.

Wazeh ho ke haal he mein, kuch hindu tanzeemon ne sadkon par namaz padhne par aitraaz kiya tha aur intiqam ke tor secunderarav ilaqa ke hanuman mandir ke bahar hanuman chalisa  ka path kiya tha. Aligarh mein, zilai intezamia ne baghar kisi ijazat ke sadkon par honay wali sabhi ”mazhabi sargarmiyoun“ par pabandi aed ki hai. –YTN STAFF