Saturday, May 10, 2025
HomeIndiaKisi Bhi Shakhs Ko Dehshat Gard Qarar Dene Ka Bill Manzoor

Kisi Bhi Shakhs Ko Dehshat Gard Qarar Dene Ka Bill Manzoor

New Delhi : Kisi bhi shakhs ko dehshat gard qarar dene  ke iltazam ke sath ghair qanooni sar-garmiyoun ke rok thaam ( tarmeem ) Bill 2019 par parliament ki mohar lag gayi.

Rajya sabha ne  usay votes ki taqseem ke zareya manzoor kardia jabkay Lok sabha ne usay 24 July ko manzoori dedi thi. Rajya sabha ne Bill ko 42 ke muqablay 147 votes se manzoor kardia. Isse pehlay opposition arakeen ne is Bill ko aam aadmi ki azadi ki khilaaf warzi karne  wala batatay hue usay tafseeli jaizay ke liye select committee ke paas bhejnay ka mutalba kiya tha lekin ewaan ne is zimn mein 85 ke muqablay 104 votes se kharij kardiya.

Wazeer-e-dakhla Amit Shah ne kal aur aaj taqreeban 4 ghantay tak chali behas ka jawab dete hue kaha ke pehlay dehshat gardi phelanay wali tanzeemon ko dehshat gard tanzeem qarar diya jaata tha lekin inhen mamnooa qarar dene  ke baad dosray naam se tanzeem banalete they, is liye woh pakad mein nahi atay they aur Dawood Ibrahim aur Hafiz Saeed jaisay dehshat gard ghair mulkoun mein bhaag jatay they is liye yeh Bill laya gaya hai.

Unhon ne oppostion ke un khadshaat ko kharij kiya ke kisi be qasoor shakhs ko dehshat gard qarar diya jayega. unhon kaha ke woh opposition ki fikron se mutfiq hain lekin tafseeli pooch tachn ke baad hi kisi ko dehshat gard qarar diya jayega. unhon ne kaha ke is Bill ke paas honay se kisi ko dehshat gard qarar dene  ki aakhri mohar nahi lageygi, is mein 4 sathon ko tahaqeeq hogi aur do sathon par appeal ka bhi iltazam hoga. amit Shah ne oppostion arakeen ko yaqeen dilaya ke is Bill se insani haqooq ki koi khilaaf warzi nahi hogi aur iska ghalat istemaal nahi kya jayega. –YTN STAFF