New Delhi : Sabiq wazeer-e-khazana aur congress ke senior rehnuma P. Chidambaram , jo fil haal INX media case mein adalti tehweel mein hain. unhon ne peer ke roz kaha ke unse mutaliq case mein kisi bhi Officer ko girftar nahi kiya jana chahiye, kyunkay kisi ne bhi kuch ghalat nahi kiya hai.
Chidambaram ki janib se unke ahal-e-khana ne yeh tabsarah unkay sarkari Twitter handle per post kiya hai.
Chidambaram ne kaha ”logoun ne mujh se poocha ”aap par muqadma chalanay ki tajweez paish karne walay aur karwai karne walay darjanoun officers ko girftar nahi kiya gaya to aap ko kyun girftar kiya gaya ‘. Chidambaram ne kaha ke ”mere paas koi jawab nahi hai. kisi Officer ne koi ghalat kaam nahi hai. mein nahi chahta ke kisi ko bhi girftar kiya jaye.
wazeh hoke Chidambaram ko jumaraat ki shaam ko Tihar jail laya gaya tha aur jail hukkaam ke mutabiq, inhen alag kothri aur maghribi tarz ke Bait-ul-khala ke alawa koi khaas sahoolat nahi mileygi.
Dosray qaidiyoun ki tarhan woh bhi jail ki library ka istemaal kar saken ge aur ek khaas muddat ke liye TV dekh satke hain.
Zurori tibbi maayne ke baad, Chidambaram ko jail number 7 mein rakha gaya hai. aam tor par, ED ke mamlaat mein, mulzimaan ko isi jail mein rakha jata hai, unke betay karti ko bhi pichle saal isi case mein 12 din tak isi cell mein rakha gaya tha.
Chidambaram aur unke betay ka naam INX media ke shareek baani peter aur Indrani mukharjee ne liya tha, jo guzashta saal feb mein indrani ki beti Shena bora ke qatal ke muamlay mein Mumbai ki jail mein hain.
Officers ko girftar na karne se mutaliq apne tweet ke zareya, Chidambaram ne is baat par zor dainay ki koshish ki hai ke unhon ne sirf 6 rukni ghair mulki investment promotion board ( FIPB ) ki sifarish par dastakhat kiye they.
Batadein ke Chidambaram 19 September tak tihar jail mein rahenge. –YTN STAFF