Saturday, May 4, 2024
HomeIndiaKisanon ke khilaaf qawaneen ki taweel tareekh, hukoomat ko faisla badalna hoga:...

Kisanon ke khilaaf qawaneen ki taweel tareekh, hukoomat ko faisla badalna hoga: Azad

New Delhi: Rajya sabha mein opposition leader Ghulam Nabi Azad ne hukoomat se kisanon se tassadum ka rasta chhodh kar muzakraat se masail ko hal karne aur tenu zarayi qaanonoun ko wapas lainay ka mutalba kiya.

Azad ne Sadar jamhooria ke khitaab par shukriya ki tajweez par behas mein hissa letay hue kaha ke un tenu qawaneen ko bananay se pehlay select committee ke samnay bheja gaya hota to tanaza ki sorat-e-haal peda nahi hoti. Unhon ne yom-e-jamhooria ko laal qilah mein hue tashadud ki akkaasi karte hue kaha ke is waqea ke mujrimon ko saza di jani chahiye aur kisi bhi muamlay mein be gunah afradko nishana bananay ki koshish nahi honi chahiye. Unhon ne kaha ke oppostion laal qilah waqea ki bharpoor mazammat karti hai. Is waqea ko jamhoriat aur aman wo Amaan ke liye muzir qaraar diya.

Kuch senior sahafion, rukan-e-parliment shashi Tharoor ke khilaaf baghaawat ka muqadma darj kiya gaya hai, Jisay fori tor par wapas liya jana chahiye. Unhon ne sawal kiya ke jo shakhs wazeer-e-mumlikat baraay umoor kharja tha woh ghaddar kaisay ho sakta hai. Azad ne kaha ke is muqadma mein mulawis kuch ayditrz jamhoriat ko zindah rakhnay mein ahem kirdaar ada karte hain. Hukoomat ko bohat se muashi aur bohat saaray badeay challengon ka saamna hai jinka azaala karna hoga. kisanon ki jad-o-jehad Bartanwi daur se jari hai aur tamam hukoomaton ko kisaan mukhalif qawaneen ko wapas lena hoga. unhon ne kisaan tehreek ke douran shaheed honay walay 175 kisanon ko kharaaj aqeedat paish kiya aur kaha ke kisaan senkdon barson se jad-o-jehad kar rahay hain.

Congress ke rehnuma ne kaha ke 1906 mein angrez hukumat ne kisanon ke khilaaf teen qawaneen banaye thay aur un ki milkiat chean li gayi thi. is ke khilaaf Punjab mein 1907 mein sardar bhagat singh ke bhai ajeet singh ki sarparasti mein ek tehreek chal rahi thi aur inhen Lala rajpat roy ki himayat haasil thi. kisanon ke ehtijaj ke tanazur mein qanoon mein kuch tarameem ki gayeen, jis se awam mushtael hogaye aur baad mein tenu qawaneen ko wapas le liya gaya.

Azad ne kaha ke 1917 mein babaye qoum Mahatma Gandhi ne neel ki kaasht ke khilaaf chmparn satyagrah ki qayadat ki thi, baad mein angraiz hukoomat ne neel ki kaasht band karne ka elaan kya. unhon ne kaha ke sardar vallabhai patel ne 1918 mein Gujrat mein kisanon par tax hataane ke liye poori tehreek ki qayadat ki thi, baad mein is tax ko khatam kardiya gaya. isi tarhan 1928 mein tax par ek tehreek chal rahi thi aur unke dabau may kisanon ki zameen wapas kar di gayi aur tax ki sharah 22 feesad se ghatt kar 6.03 feesad kardi gayi.

Ghulam Nabi Azad ne kaha ke saal 1988 mein congress ne kisanon ke muamlay ke silsilay mein dehli ke vote club mein ek rally ka ineqad kiya tha lekin is rally ke ineqad se qabal vote club par kisanon ke ek group ki aamad ki wajah se tehreek ke maqam ko badal kar laal qilah kardiya gaya. Unhon ne kaha ke kisanon ke baghair kuch nahi socha ja sakta hai. woh nah sirf 130 crore afraad ke fraham kanandah hain balkay poori duniya ke logon ko anaaj faraham karte hain.