Friday, March 29, 2024
HomeIndiaKisanon ke ehtejaaj Rahul Gandhi ki tanqeed par jawabi tanqeed

Kisanon ke ehtejaaj Rahul Gandhi ki tanqeed par jawabi tanqeed

New Delhi: Congress ke mutabiq sadar Rahul gandhi ne zaree khanoon ko mansooq karne ka mutaliba karne wale mushtael kisano ki himayat karte huwe kaha ke kisan mulk ke in data aur Hindustan ke bhagya vidhata hai lehaza hukoomat ko unke mutalbon ko qubool karna chahiye. Rahul gandhi ne tweet kiya ke data hai niddar hai idhar hai Bharat bhagya vidhata isi ke saath unho ne kisanon ki tehreek ki ek tasweer bhi post ki hai jis mein hazaron kisan apne mutalibat ke haq mein muzahira kar rahe hain.

Congress sadar ne kaha ke mulk ka kisan apne mutale par sabit qadam hai aur woh ehtejaaj karte huwe kisi se nahi darta. Unho ne kaha ke kisan mulk ko anaaj dene wala aur bhagya vidhata hai. Is tweet ke zariye unho ne mushtael kisano ki mahaa panchayat ki himayat ki hai yaad rahe ke muzaffer Nagar mein kisan rehnuma Rakesh takait ne Maha panchayat talab kiya tha jis mein badi tedaad mein kisano ne shirkat ki is maha panchayat mein takait ne kaha ke jab tak kisano ke mutalibat pure nahi hote unka ehtejaaj jaari raheiga.

Rahul gandhi par jawabi tanqeed karte huwe BJP ne kaha hai ke congress zameeni sateh par koe bhi mauzoo utane par qasir hai is liye jhooti tasweeron se siyasat karne ki koshish kar rahi hain. BJP ke tarjuman sambhit patra ne yaha ek press conference mein kaha ke jab bhi mulk mein gumrah kun aur jhoot ki siyasat hoti hain toh is mein Rahul gandhi ka haath hota hai is silsile mein Rahul gandhi ne kisanon ki tehreek ki ek purani tasweer tweet ki hai aur use haaliya waqia bataya hai Rahul gandhi achi tarha jaante hai ke congress bagair sadar ke hai aur zameen par kahi bhi khadi hone se qasir hai.

Unho ne kaha ke jamhooriyat mein opposition ko ehtejaaj karne ka haq hai lekin inteshar paida karne ka nahi. sambhit patra ne kaha ke Rahul gandhi ne is se qabl dehli mein ismat rezi ki mutasira ke khandan ki tasweer social media par post ki thi jise Tweeter ne hata diya.