Monday, April 29, 2024
HomeIndiaKisanon ka Mamta Banerjee se phone par tabadlah khayaal

Kisanon ka Mamta Banerjee se phone par tabadlah khayaal

New Delhi: Hindustan ke dar-ul-hukoomat Delhi ke Singh sarhad per guzishta teen hafton se bhi ziyada waqt se ehtijaj karne walay kisanon ne chaharshambe ko maghribi bangal ki chief minister Mamta Banerjee ne phone par baat cheet ki aur unse is tehreek mein sath dainay ki appeal ki. Is mauqa par Trinamool congress ke paanch arkaan-e-parliment ne Singh border per dharna dainay walay kisanon se mulaqaat ki aur apni party ki janib se unhein is tehreek mein taawun karne ki yaqeen dehani karwai. Is mauqa par un arkaan parliament ne kaha ke unki party is maslay par hamesha un ke sath rahaygi.

Singhu border par kisanon ke kuch rehnumaon ne Trinamool congress ki sadar Banerjee ko jab phone par apni tehreek ki himayat mein sath dainay ki appeal ki to unhein mukammal taawun karne ka wada kiya aur kaha ke woh unki jad-o-jehad mein sath hain aur woh kisanoun ki mutalibaat ki himayat karti hain. Kisanon ne Mamta Banerjee se appeal ki ke woh tehreek ki hosla afzai ke liye ek martaba ehtijaj ke maqam pahonch kar kisanon se mulaqaat karen.

Kisanon se mulaqaat karne walay Trinamool ke arakeen parliment Mohammad Nadim ul Haq , ‎Derek O’Brien, shatapadi raye mondal aur parsavan Banerjee bhi mojood thay. unhon ne kisanon ke masail ko barray ghor se suna aur kaha ke Trinamool congress kisanon se mutaliq tenu qawaneen ko mustard karne ke mutalbe mein jari ladai mein har waqt unke sath hai.

Ghhor-e-talabb hai ke chief minister Banerjee ne aaj se 26 saal pehlay Sang ki tareekhi ladai ladi thi aur unhon ne wahan ke kisanon ko unki zameen wapas dilwayi thi jis ke baad 2016 mein Supreme Court ne bhi kisanoun ke haq mein faisla sunaya tha.