Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaKiraya maaf nahi ho sakta, Maalik makaan ki bhi zaroorat hai: Delhi...

Kiraya maaf nahi ho sakta, Maalik makaan ki bhi zaroorat hai: Delhi High Court

New Delhi: Delhi ki High Court ne is darkhwast ko mustard karte huve kaha ke Covid-19 ke bohraan ke douran kiraya ki adaigi zurori hai kyunkay waba ke bohraan se sirf kiraya daar hi mutasir nahi huve balkay maalik makaan bhi bhorani kefiyat se dochar hain aur kayi aisay maalik makaan bhi hain jin ka guzar busar kirayoun par hi hai. Chief Justice DN Patel aur Justice Prateek Jalan ke bench ne Note kiya ke adalat makanoun aur kiraya daaroun ke mabain moahida ki sharait mein mudakhilat ka ziyada muzahira nahi kere gi kyunkay kiraya daar aur maalik makaan ke mabain moahida hai.

Advocate Gourav Jain ki janib se dair kardah  darkhawast ko ahmiyat dene se inkaar karte huve   bench ney kaha ke is baat ko zehen mein rakhna chahiye ke adalat dosaroun ki jaedad par khairati kaam nahi kar sakti hai. Qanoon se balatar hokar khairaat karna dosaroun ke sath na-insafi hai. Agar makaan maalik mutaliqa fareeqoun ke mabain tey shuda muahiday ke mutabiq qanoon ke mutabiq kiraya / ghhor wusool karne ka haqdaar hai to, Adalat darkhwast guzaar ke zareya maang ki gayi noiyat ke aam hukum ke zareya, Itni raqam maaf nahi kar sakti hai.

Kisi bhi raahat se inkaar karte huve high court ney kaha ke darkhwast is qiyaas par hai ke sirf kiraya daar maali pareshani mein mubtala hain, Ya wabai bemari aur iss ke nateejay mein lockdown ke muashi anjaam se hain. Taham, Is baat ko zehen mein rakhna chahiye ke maalik makaan bhi kiraya par muashi tor par inhisaar kar saktay hain.