Wednesday, May 7, 2025
HomeTelanganaKiraya daaroun ki makaan malikoun ke khilaaf Police ko darjanoun shikayat

Kiraya daaroun ki makaan malikoun ke khilaaf Police ko darjanoun shikayat

Hyderabad: Reyasti hukoomat ke elaan ke baad bhi makaan malikaan ke khilaaf kiraya daaroun se kiraya ki talabb ki darjanoun shikayat masool hora hee hain. Police ki hungami khidmaat Dial 100 par maalik makaan ke khilaaf shikayat darj karwai jarahi hain. Bohat saaray kiraya daar Dial 100 ki sahoolat istemaal kar rahay hain aur Police se madad ka mutalba kiya ja raha hai kyunkay Corona ke bohraan ki wajah se wo kiraya ada karne ke muaqqaf mein nahi hai. Police Emergency Service ko 20 taa 27 April tak gharroun ke malikaan ke khilaaf 372 shikayaat masool huven.

Un mein se 50% tenun Police Commissionerate Hyderabad, Cyberabad aur Rachakunda ke daira ikhtiyar se hain jabkay baqi riyasat ke deegar ilaaqoun se hain. Ohdedaroun ne bataya ke aksariyat malikaan kiraya daaroun se kiraya maang rahay they jis mein kaha gaya tha ke inhen apne ghar ke qarzoun ki mahana qist ada karna padtee hai. Police ne kaha ke maalik kiraya daaroun ko harasan nahi kar rahay they balkay wo sirf kiraya ada karne ki darkhwast kar rahay they taakay qist ada karne mein un ka ahal ho. Chand malikaan kiraya daaroun se adaigi karne ki Appeal kar rahay they kyunkay mahana kiraya un ki aamdani ka sab se bada zareya tha.

Ek ohdedar ne kaha hum har Dial 100 ke zareya masool honi wali shikayat ke baad mutaliqa Police Station ko darkhwast bhaij rahay hain. Muqami Police makaan maalik se mulaqaat kar rahi hai aur maalik se mushawarat ke baad is maslay ko hal kar rahi hai. Kiraya daaroun ki taraf se call masool honay ke alawa Police Emergency Service ko raat ke waqt muhallay mein logoun ke jama honay se mutaliq Call bhi masool ho rahi hain jab Lockdown chal raha hai to loog muhalloun mein is ki khilaaf warzi karahe hain jabkay dukanat par masharti faaslay barqarar nah rakhnay waloun ke khilaaf bhi kuch shikayaat darj huvi hain. –YTN STAFF