Monday, May 13, 2024
HomeHyderabadKIMS dawakhane taa Ranigunj chowrahe par Traffic Jam masla sangeen honay laga

KIMS dawakhane taa Ranigunj chowrahe par Traffic Jam masla sangeen honay laga

Gulf bakery ke rubaroo be dhang parking, sadak ghari mijaz bandiyoun ki barkhwastgi na guzer


Secunderabad :
Rasool pura chowrahe se rani ganj chowrahe tak ka chowrasta KIMS dawakhane se hokar guzarta hai. aaj se do dahe qabal ghuroob-e-aftaab ke baad is rastay per guzarne se awam dartay they aur aaj is rastay par awam din mein guzarnay se khauf khatay hain kyunkay maazi mein yahan ghuroob-e-aftaab ke baad andheray aur sun Sanan rastay ki wajah se log is rastay par nahi guzarte they lekin ab din ke ujalay mein traffic jaam ke masail ne awam ko rasta badalne par majboor kar diya hai.

Yahan aaye din traffic jam ke masail bad se bad tareen shakal ikhtiyar kar rahay hain aur aaj star hotel ke rubaroo necklace road ki simt janey walay rastay par barish ke pani ki nikasi ke liye jo intizamaa karne ki khatir is rastay ko band kardiya gaya to phir traffic jam ke masail ne sangeen sorat-e-haal ikhtiyar karli.

Traffic jam ki wajah se KIMS dawakhane ke paas se lekar karbala maidan tak rastay mukammal band hogaye jabkay is traffic jam mein tadfeen ke liye jarahi maiyat ki gaadi ko pareshan kin halaat mein dekha gaya aur marhoom ke aziz wo aqarib traffic signals police ohdedaron se darkhwast karte hue dekhe gaye aur woh gaadi ki qabrastan tak rasai ke liye traffic signals ko khulwane par majboor dekhe gaye.

KIMS dawakhana taa rani ganj chowrahe tak traffic jam ka masla din badan sangeen hota ja raha hai halaanke yeh sadak jo 2 baras qabal khasta haal thi tab to traffic jam ka aisa koi masla nahi tha lekin cement road ko bichenay aur usay behtar bananay ki gharz se jo tamirati kaam anjaam diye gaye hain is ne raastoun ko tang kardiya gaya hai aur khaas kar star hotel ke samnay ka chowrast jo nai sadak ki taamer se qabal kushadah tha usay tang kardainay ki wajah se traffic jaam ho raha hai.

Is ke alawa KIMS dawakhane se leker gulf bakery tak lab sadak khanay ke bandiyoun aur bakery ke samnay ghair mijaz parking ki wajah se bhi traffic jam horahee hai aur is taraf mutaliqa traffic police station ka amlah tavajja nahi day raha hai. lab sadak gadiyon ki ghair majaz parking ko roknay ke liye traffic police ne sirf ”no parking“ ke boards laga diye hain lekin awam is board ke nazd hi apni gaadi park kar rahay hain. –YTN STAFF