World Health Organization ki taaza report mein kaha gaya ke Hindustan mein 15-29 baras ke naujawanon mein khudkushi ka rujhan ziyada paaya jata hai.
Hyderabad. national Crime Record Bureau (CRB) ke mutabiq Telangana Mulk ki paanch riyasaton mein shaamil hai jahan logon ke jaan dae dainay ke iqdamaat ke waaqiaat ziyada runuma hotay hain. NCRB Telangana riyasat mein 2014 ke dauran khudkushi karne ke waaqiaat fi lakh 26. 5 hai. Pondicherry khudkushi ke waaqiaat ke lehaaz se Mulk ki sar e fehrist riyasat hai jahan khudkushi karne walon ki tadaad fi lakh 40.4 hai. Kull Hind ausat sharah isi muddat ke dauran 10.6 waaqiaat fi lakh hai. Greater Hyderabad Municipal Corporation ke tahet Hyderabad ki maujooda abadi ke hisaab se Hyderabad mein takhmeenan har saal 2,650 afraad khudkushi karte hue apni jaan dae dete hain. Haliya World Health Organization ki aik report mein kaha gaya ke Hindustan mein 15-29 baras ki Umar ke naujawanon mein fi lakh abadi khud kushi ka rujhan ziyada paaya jata hai. khud kashi karne ke pas parda muharikaat kya hain. Iss khusoos mein NCRB ney bhi 2004 aur 2014 ke darmiyan khud kushi ke waaqiaat ka tajzia kya hai aur yeh nishandahi ki hai ke Hindustan mein khudkushi ke waaqiaat ki badi wajah khandani tanazeaath hain. Khudkushi ke 28% waaqiaat khandani aur rishta daari ke umoor se judey hue thae. Doosri badi wajah bemari hai jis ke baayis 18% log khudkushi karte hain. Mahireen ke mutabiq umooman is tarha ke sangeen iqdamaat karne ke peechay kayi wajuhaat karfarma hoti hain. Doctors ka kahena hai ke Hindustan ke naujawan un naakamiyoo par qaboo panay se qaasir rehtay hain jis ke baayis mayoosi pahelti hai. Mayoosi ka ilaaj na honay ke baayis khwahish ki adam takmeel par badhtay dabao, mutawatir be izzati, rishton ka toot jaana wagaira khudkushi karne ki taraf mael karte hain.