Mahoba ( Uttar Pradesh ) : Bundel khand ko alehda riyasat bananay ki maang ko leker guzashta kayi roz se bhook hadtaal kar rahay Bundeli samaaj ke Convener Tarakarpat ne chaharshambe ko, apne sathiyon ke sath, wazeer-e-aazam Narendra Modi ko khoon se khat likh kar janam din ki mubarakbaad di .
Is douran Tara Patkar ne kaha ke BJP hamesha chothee reyaston ke haq mein rahi hai. agar aisa nah hota to sabiq wazeer-e-aazam Atal bihari vajpayee ek sath teen teen reyaston ki tashkeel amal mein nah laatay. unhon ne kaha ke’ Bundel khand ko baar baar dhoka diya gaya hai. hamari zabaan, hamari Saqafat aur tareekhi varsay ka musalsal gala ghoont diya ja raha hai. lehaza hamara mutalba hai ke Bundel khand ko ek alehda riyasat banaya jaye.
Unhon ne kaha ke Bundel khand ko sirf kaan kinne ke naam par loota ja raha hai. ab hum usay mazeed bardasht nahi kar saktay. aap hamaray jazbaat ka ehtram karen aur jald se jald Bundel khand riyasat ka elaan karen. Patker ke sath, Bundel khand kranti dal ke zilai saddar Dipendar Singh, Khurshid aalam ne wazeer-e-aazam ko khoon se khat likha aur inhen janam din ki mubarakbaad di. –YTN STAFF