Hyderabad. Nizam Hyderabad ke mashhoor Khilwat (Chowmahalla Palace) ki tazaeen e nau ka kam taiz raftari ke sath jari hai. Yeh Palace jis mein 4 chhootay chhootay mahal hain, sayyahon ke liye nihayat hi purkashish hai. Iss ki azmat e rafta ki bahaali ke liye haal hi mein Belgium ke 19 fanoos dobarah latakaye gaye hain. Mahal ki taameer taqreeban 200 saal pahelay huwi thi. Yeh Mahal apne anokhay andaaz ke tarz e taameer ke liye mashhoor hai. Iss mein tamam sarkari taqarib bashmool Nizam ki takht nasheeni ki taqarib bhi huwa karti theen. Is ke tahaffuz aur tazaeen e nau ka kaam taqreeban mukammal hogaya hai. Ziyada tar kaam rang wo roghan aur imaarton ki marammat se mutaliq hain. Tawaqqu ki jarahi hai ke November tak yeh kaam mukammal karliye jayen ge. Rozana hazaron afraad Chowmahalla Palace dekhen ke liye purana shahar aatay hain. Palace mein Nizam Deccan ki janib se Shahi mehmanon aur sarkari mehmanon ko tahraya bhi jata tha. Yeh apne Darbar Hall ke liye bhi mashhoor hai. Iss mein Mughlia tarz ki ghumbaden, kamanain aur Irani tarz ki aster kaari, paicheeda naqqashi ka kaam bhi kiya gaya hai. Iss mein baagaat bhi lagaye gaye hain jo pur kashish hain. Islaah o marammat aur tazaeen nau ke zariye uski azmat barqarar rakhne ki koshishen jari hain. Iss silsilay mein 35 lakh rupiye kharch kiye jayen ge. Iss kaam ke liye pesha waranah salahiyaton ke haamil karigron ki khidmaat haasil ki gayi hain jo riwayati tarz ki taknik ka istemaal kar rahay hain taakay is ke Waqar aur miyaar ko barqarar raka jasakay.