Hyderabad: United muslim action committee ki janib se hafta ki shaam, Khilwat ground par, shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ), national register of citizen ( NRC ) aur national population register ( NPR ) ke khilaaf ehtejaji jalsa wo mushaira ka ineqad amal mein laya gaya. AIMIM ke sir-barah wo rukan-e-Parliament Hyderabad ki sadarat mein munaqidah is ehtajaji jalsa wo mushaira mein hazaroun ki tadaad mein awam ne shirkat ki.
Adalat ki janib se ehtajaji jalsa wo mushaira ka waqt 6 bajey shaam taa 9:15 bajey tak muqarrar karne ki wajah se muqarrar-yan ki tadaad mein kami kardi gayi aur muqami shuara se mazirat ki gayi, waqt ki kami ki wajah se berooni shuara ko bhi bhar poor mauqa nahi diya ja saka, magar un shura Ikram ne apne kalaam se awam ko Mahzooz kiya aur unke kalaam par awam ne khoob daad se nawaza. musalsal naaray baazi ki gayi aur qaumi par cham lehratey hue awam ne watan se mohabbat aur siyah qawaneen ke khilaaf bezari ka elaan kiya.
Is jalsa mein mukhtalif ulama Ikram wo mashaykhin wo danishwaron ne mukhtasran khitaab kiya. Jalsa gaah awam ki kaseer tadaad ki wajah se apni tang damni ka shikwah kar raha tha. Khilwat ground ke alawa dono janib ki sadkain bhi awam se bhar gayeen theen. jalsa gaah mein khawateen ke sath masoom bachay bhi shareek they. programme ke ibtida mein Padmashree Aziz Ahmed Khan varsi ke pote Nazeer varsi ne saaz par kalaam pesh kiye. unhon ne ”kab tak mere moula aur Faiz Ahmed Faiz ki mashhoor nazam ”ham bhi dekhenge “ko munfarid andaaz mein pesh kiya, jisay samaeen ne khoob pasand kiya.
Is douran munaqidah ehtajaji mushaira mein mulk ke naamwar shura Ikram , Rahat Indori, Manzar Bhopali, Shabeena Adeeb, aur Sampat Saral, ke kalaam ko kaafi pasand kya gaya. jadeed tarz ke shura Aamir Aziz , Hussain haidry. iqra Khan , Nabia Khan ne bhi nazmein aur ashaar ke alawa nasri kalaam pesh kiya. mumtaz naazim mushaira aslam ne mushaira ki karwai chalaye.
Maaya naz shayar Rahat Indori ki nazam ”kisi ke baap ka hindustan thodi hai “ko bohat ziyada pasand kiya gaya. unhon ne kayi behtareen ashaar sunaya aur khoob daad se nawaze gay. un ke yeh ashaar bhi kafi pasand kiye.
apni pehchan mitanay ko kaha jata hai
bastiyan chode ke jaane ko kaha jata hai
pattian roz gira jati hain zahrili hawa
aur hamein Pedh laganay ko kaha ja taa hai
maheman shaeirah Shabinah Adeeb ne apne munfarid andaaz mein apni nazam ”Ye hindostan hamara hai “sunayi. jis par samaeen ne qaumi parcham lehratey hue daad se nawaza. manzar bhopali ne bhi apne kalaam aur tarannum se bhar poor daad haasil ki. unhon ne firqa parast taqaton ki janib se mulk ko taqseem karne par tanz kya.
Sampat saral ne wazeer-e-aaazm Narendra modi par nazam ”man ki baat, naam ki bat“ ke zareya tanz kya. Jamia milliya islamia ke taalib ilm wo shayar Aamir Aziz ne, bhi mutanazia qawaneen aur iske khilaaf aawaz uthane par kiye ja rahay zulm par kalaam sunaya aur daad haasil ki. unke alawa sabhi maheman shuara ke alawa muqami shuara ke kalaam ko awam se khoob pazeerai haasil ho yi. poori kamyabi ke sath mazkorah ehtajaji jalsa wo mushaira apne muqarara waqt par ekhtataam ko pohancha. –YTN STAFF